Chalo diyaar-e-nabi ki jaanib durood lab par saja saja kar - Owais Raza Qadri

Chalo diyaar-e-nabi ki jaanib durood lab par saja saja kar
Bahaar luuttain ge ham karam ki dilon ko daman bana bana kar
~ ~

Na un ke jesa sakhi hei koii na un ke jesa ghani hei koii
Wo be-nawa-o ka har jaga se nawaazte hein bula bula kar
~ ~

Mein wo nikamma hun jisski jholi main koii husn-e-amal nahiin hei
Magar wo ihsaan kar rahe hein khata-ain meri chhupa chhupa kar
~ ~

Hei unki ummat se pyaar kitna karam hei rahmat sha’aar kitna
Hamaare jurmon ko dho rahe hein wo apne aansu baha baha kar
~ ~

Yahi asaas-e-amal hei meri issi se bigrri bani hei meri
Samett-ta hun karam khuda ka nabi ki naatain suna suna kar
~ ~
Wo raahain ab tak saji huii hein dilon ka kaaba bani huii hein
Jahaan jahaan se huzur guzre hein naqsh apna jama jama kar
~ ~

Agar muqaddar ne yaawri ki agar madine gya mein Khaalid
Qadam qadam khaak uss gali ki mein chuum lun ga uttha uttha kar

Zehe Izzat-o itlaaye Muhammad - Owais Raza Qadri

Zehe Izzat-o itlaaye Muhammad
Ke he Arsh-e-Haqq zer-e-paaye Muhammad

Makaan Arsh unka falak farsh inka
Malak khaadmaan-e-saraaye Muhammad

Khuda ki Raza chaahata hain do Aalam
Khuda chaahata he Razaaye Muhammad

Ajab kya agar raham farmaaye hum par
Khudaaye Muhammad Baraaye Muhammad

Muhammad baraaye Janaab-e-Ilaahi
Janaab-e-Ilaahi Baraaye Muhammad

Dam-e-nazaa jaari ho meri zabaan par
Muhammad Muhammad Khudaaye Muhammad

Mein qurbaan kya pyaari pyaari he nisbat!
Yeh aan Khuda woh Khudaaye Muhammad

Khuda unko kis pyaar se dekhta he
Joh aankhein hein mah-we-liqaaye Muhammad

Ijaabat ka sehra Inaayat ka jawra
Dulhan ban ke niklee Duaaye Muhammad

Raza pul se ab Wajd karte guzrehes
Ke he Rabbi Sallim Sadaaye Muhammad

Basa Huva Hay Nabi Ka Diar Aankhon Main - Aamir Liaqut Hassain

BASA HUVA HAY NABI KA DIAR AANKHON MAIN

SAJAYE BAITHHA HOON EK JALVA ZAAR AANKHON MAIN
DIAR-E-PAK KA HER MANZAR-E-HASEEN-O-JAMEEL
RUHAY GA KA’BA QAZA YAD GAR AANKHON MAIN

BASA HUVA HAY NABI KA DIAR AANKHON MAIN
ATA KIA JO MADINAY KE BASION NAY MUJHE
MEHAK RUHA HAY AB TAK VOH PIAR AANKHON MAIN.
AB ISS SAY BARH KE KOI SURMA AUR KIA HO GA?

SAMAIT LAYA HOON MAIN KUCH GHUBAR AANKHON MAIN.

BASA HUVA HAY NABEE KA DIAR AANKHON MAIN
BAGHAIR DEKHE MADEENA INHAIN NAZAR AAYA
HAIN MUNFARID MERI AANKHAIN HAZAR AANKHON MAIN.
BASA HUVA HAY NABI KA DIAR AANKHON MAIN

TARAP HAY DIL MAIN MADEENAY KE JALVA ZARON KEE!
AUR INTIZAR-E-SAFAR BAYQARAR AANKHON MAIN.
BASA HUVA HAY NABEE KA DIAR AANKHON MAIN
SUNAOUN GA VOH KAHANI HUZOOR KO JA KER

CHCHUPAYE BAITHA HOON JO ASHKBAR AANKHON MAIN

HAY E’ETMAD BHEE IQBAL KO SHAFA’AT PER
SAZA KA KHOUF BHEE HAY GUNAHGAR AANKHON MAIN
BASA HUVA HAY NABEE KA DIAR AANKHON MAIN
SAJAYE BAITHA HOON IK JALVAZAAR AANKHON MAIN

Badi shay hai nisbat-e-Mustafa - Dr.Tahir-ul-Qadri

Badi shay hai nisbat-e-Mustafa,
Hai waseela apni najaat ka

Shah-e-ambiya ki jo Aal hai,
Barha uska jaah-o-jalaal hai,
Nahin uski koi misaal hai,
Wo habib-e-haq ka jamaal hai,
Nahin kaal is mein ye haal hai,
Mila usko kaisa kamaal hai,
Ye Khuda-e-pak ki hai ataa,
Badi shay hai nisbat-e-Mustafa

Wo jo Ahle Bayt ke hain Imam,
Barhe muttaqi barhe nek naam,
Wo hain badshah to hain hum ghulam,
Bane unke madhha tara tamaam,
Barha uncha har ek ka hai maqaam,
Hue pehle hazrat Ali Imam,
Jinhe sab ne Asadullah kaha,
Badi shay hai nisbat-e-Mustafa

Hain Hassan Imam Hussain bhi,
Hain Ali Raza wo Naqi Taqi,
Hain Imam Baqir-o-Kazmi,
Kahin Abdi kahin Ja’fari,
Koi Mahdi koi hai Askari,
Hai har ek Rasool ki raushni,
Mili unse duniya ko hai zia,
Badi shay hai nisbat-e-Mustafa

Ye hain aala aulad-e-Ali
Kahin in mein Alwi aur Fatemi
Yahi nasl aal-e-Nabi bani
Hai mohabbat inse to wajibi
Hai Riyaz hukm-e-Khuda yahi
Yahi hai hadeeth Huzoor ki
Kahoon kyun na phir main warmala
Badi shay hai nisbat-e-Mustafa

Too he woh Ghous ke har Gous he shaida tera - Imam Ahmed Raza Khan AlQaderi

Too he woh Ghous ke har Gous he shaida tera
Too he woh Gais ke har Gais he payasa tera

Suraj aglow ke chamakte te chamak kar dubeh
Ufaq Noore pe he Mahr hamesha tera

Murg sab bolte he bol ke chup rehte heh
Ha aseel ek nawasanj rahe ga tera

Jo Wali qabal te ma baad howe ya hoonge
Sab adab rakteh he dil me mere aaka tera

Tujse aur dahar ke Aqtaab se nisbat kaisi
Qutub khud koon he khadim tera chela tera

Saare Aqtaabe jaha karte he Kaabe ka Tawaaf
Kaaba karta he Tawaafe dare wala tera

Too he nausha baraati he ye saara gulzaar
Laee he fasle saman goondh ke sehra tera

Daaliyah jhoomti he raqse khushi joush pe he
Bulbule jholti he gaathi he sehra tera

Geet kaliyo ki chatak gazle hazaaro ki chahak
Baagh ke saazo me bajta he tarana tera

Kis ghulistaan ko nahin fasle bahari se niyaaz
Kaun se silsile meh faiz na ayaa tera

Heh Raza yoon na balak to nahein jayyad to na ho
Sayyidi Jayyad har dahar he Maula tera