Ya Nabi Salaam Alaika Salawatullaah Alaika-Owais Raza Qadri

Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasul Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullaah Alaika

Jashn-e-Milad un nabi hay
Noor ki chaadar tani hay
Roshani hi roshani hay
Har taraf yay doom machi hay

Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasul Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullaah Alaika

Ya habeeb-e-rab-e-daawar
Azpa-ay Siddeeq-e-Akbar
Aur Umar Usmaan O Haydar
Chashmay baytar Do qalb-e-uzz par

Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasul Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullaah Alaika

Rahmatal Lil Aalameena
Ho ataa aysa kareena
Daykh kar meetaa madina
Ishq-e-main patjaa ay seena

Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasul Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullaah Alaika

Aakhari lamhay jab aa-ain
Kaash wo tashreef laa-ain
Apnay jalwon main gumaa-ain
Joom-e-kar ham gun gunaa-ain

Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasul Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullaah Alaika

Hashr-e-main sarkaar-e-aanaa
Mayray ayb ko chupaana
Apnay rab say bakhsh
Saath-e-jannat may bassaana

Ay Khuda Kay Laadalay Pyaaray Rasool
Yay salaamain Aajazaana ho kabool

Ae Rasul E Amin Khaatamal Mursaleen-Junaid Jamshed

Be Khabar Tu Jauhar-i Aa'inah Ayyaam Hai
Tu Zamaane Mai Khuda Ka Aakhri Paigham Hai

Ae Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen
Tujh Sa Ko'i Nahi, Tujh Sa Ko'i Nahi

Hai Aqeedah Yeh Apna Ba-Sidq Wa Yaqeen
Tujh Sa Ko'i Nahi, Tujh Sa Ko'i Nahi

Ae Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen

Bazm-e-Kaunain Pehle Sajaa'i Gayi
Phir Teri Zaat Manzar Pai Laayi Gayi

Sayyad al-Awwaleen, Sayyad al-Aakhireen
Tujh Sa Ko'i Nahi, Tujh Sa Ko'i Nahi
Sayyad al-Awwaleen, Sayyad al-Aakhireen

Mustafa, Mujtaba, Teri Madh Sana
Mere Bas Mai Nahi, Dastaras Mai Nahi

Dil Ko Himmat Nahi, Lab Ko Yaara Nahi
Tujh Sa Ko'i Nahi, Tujh Sa Ko'i Nahi

Mustafa, Mujtaba, Teri Madh Sana
Dil Ko Himmat Nahi, Lab Ko Yaara Nahi


Ae Rasul-e-Amin, Tujh Sa Ko'i Nahi

Dast-e-Qudrat Ne Aisa Banaaya Tujhe
Jumla Awsaaf Sai Khud Sajaaya Tujhe

Ae Azal Ke Haseen, Ae Abad Ke Haseen
Dhoondhti Hai Tujhe Meri Jaan-e-Hazeen

Tera Sikkah Rawa Kul Jahan Mai Huwa
Is Zameen Mai Huwa, Aasmaan Mai Huwa

Kya Arab Kya Ajam Sab Hai Zair-e-Nagin
Taubah Taubah Nahi, Ko'i Tujh Sa Nahi

Ae Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen
Tujh Sa Ko'i Nahi, Tujh Sa Ko'i Nahi

Hai Aqeedah Yeh Apna Ba-Sidq Wa Yaqeen
Tujh Sa Ko'i Nahi, Tujh Sa Ko'i Nahi

Ae Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen

Woh Tanha Kaun Hai Allah Ho Allah-Farhan Ali Qadri

Woh Tanha Kaun Hai Allah Ho Allah
Badshah Woh Kaun Hai Allah Ho Allah
Meherban Woh Khaun Hai Allah Ho Allah

Hasbi Rabbi Jallal La Allah Ho Allah
MUafi Kalbi Giar Allah Allah Ho Allah

Kya Unchi Shaan Hai Allah Ho Allah
Us ke Sab Nishan Hain Allah Ho Allah
Sab Dilo ki Jaan Hai Allah Ho Allah

Hasbi Rabbi Jallal Lah Allah Ho Allah
Muafi Qalbi Giar Allah Allah Ho Allah

Ya Rabbal ? Ala'meen Allah Ho Allah
Salle Ala Tahal Ameen Allah Ho Allah
Fee Kulli Waktin Wa heen Allah Ho Allah

Hasbi Rabbi Jallal La Allah Ho Allah
Muafi Kalbi Giar Allah Allah Ho Allah

Midhat Teri Hai Chaar So Allah Ho Allah
Kya Haseen hai Guftagoo Allah Ho Allah
Shehr-e-Dil Main Tu Hi Tu Allah Ho Allah

Hasbi Rabbi Jallal La Allah Ho Allah
Muafi Kalbi Giar Allah Allah Ho Allah

Imla ? Qalb-e- Bil Yaqeen Allah Ho Allah
Tabbitni ? Ala had had din Allah Ho Allah
Wagfir li Ya Muslimeen Allah Ho Allah

Tujhse Saar-e- Kaam Hain Allah Ho Allah
Tujse Subho Shaam Hain Allah Ho Allah

Tere Jalwe Aaam Hain Allah Ho Allah
Hasbi Rabbi Jallal La Allah Ho Allah
Muafi Kalbi Giar Allah Allah Ho Allah

Noor-e-Arzo Asman Allah Ho Allah
Khaliq-e-Kono Makan Allah Ho Allah
Tu Karar-e-Jism-o- jaan Allah Ho Allah

Hasbi Rabbi Jallal La Allah Ho Allah
Muafi Kalbi Giar Allah Allah Ho Allah

Mujh Main Teri Yaad Hain Allah Ho Allah
Zikr-e-Rab se Shaad Hai Allah Ho Allah

Kasr-e-Jaan Abad Hai Allah Ho Allah
Hasbi Rabbi Jallal La Allah Ho Allah
Muafi Kalbi Giar Allah Allah Ho Allah

Tu Shamm-e Risalath hai Alam Tera Parwana-Owais Raza Qadri

Thu Shamm-e Risalath hai Alam Tera Parwana

Thu Shamm-e Risalath hai Alam Tera Parwana
Aa dhil Men Tujehe Rakloon Eh Jalawa Eh JaanAna

Bus Itna Karam Karna Eh Chashme KareemAna
Jab Jaan Laboon Par Ho (Aqa) Thum Samene A Jana

Khatthe hain Tere Darka Pitthe hain Tere Darka
Paani Hai Tera Paani Dhana Hai Tera Dhana

Duniya Men Mujhe Apna ... Thum Ne tho Banaya hai...
Mahshar Men Bhi Kehdena (Aqa)  Yeh Hai Mera Deewana

Aa dhil Men Tujhe Rakloon  Eh Jalwa eh jaan ana

Pine Ko Tho Pilunga  Par Sharth Zara See hai...
Ajhmeer Ka Saaqi Ho Baghdhad Ka MenKhana

Jee Chahtha hai thohfe men  Bhejunga Unhen Akke
Dharshan Ka Tho Dharshan ho Nazrane ka Nazrana

Aa dhil Men Tujhe Rakloon Eh Jalwa Eh jaanana

Teri Shaan Jalla Jalaluhu Hamd Pak-Umm e Habiba

Teri Zaat Paak Hai Aey Khuda
Teri Shaan Jalla Jalaluhu
Teri Zaat Paak Hai Aey Khuda
Teri Shaan Jalla Jalaluhu
Nahin Tujh Sa Koi Bhi Dusra
Teri Shaan Jalla Jalaluhu
Teri Zaat Paak

Tera Zikr Hi To Namaaz Hai
Teri Yaad Hi To Niyaz Hai
Bari Sehal Hai Teri Bandagi
Teri Shaan Jalla Jalaluhu
Teri Zaat Paak

Kabhi Mast Dekh Ke Phool Ko
Kabhi Tere Husn Qubool Ko
Yehi Keh Rahi Hai Kali, Kali
Teri Shaan Jalla Jalaluhu
Teri Zaat Paak

Jis Se Chahey Hosh Mein Lae Tu
Jis Se Chahey Mast Phirae Tu
Tuhi Hosh Dey Tuhi Bekhudi
Teri Shaan Jalla Jalaluhu
Teri Zaat Paak

Tere Hukm Se Jo Hawa Chali
To Chitak Ke Boli Kali, Kali
Hai Karim Tu Hai Rahim Tu
Teri Shaan Jalla Jalaluhu
Teri Zaat Paak

Tera Daali, Daali Mein Wasf Hai
Teri Pattey, Pattey Mein Hamd Hai
Tera Ghunchey, Ghunchey Mein Rango Boo
Teri Shaan Jalla Jalaluhu
Teri Zaat Paak

Tera Jalwa Donon Jahan Mein Hai
Tera Noor Kouno Makaa’n Mein Hai
Yahan Tu Hi Tu Wahan Tu Hi Tu
Teri Shaan Jalla Jalaluhu
Teri Zaat Paak

Sooey taiba jane walo mujhe chorr kar na jana-Owais Raza Qadri

Sooey taiba jane walo, mujhe chorr kar na jana
Meri ankhon ko dikha do shah-e-deen ka aastaana

Hain wo jaaliyan sunehri meri hasraton ka mehwar
Wo sahara mujh ko dein ge jo hain khaas rab ke dilbaar

Mujhe pohnch kar madine nahin laut kar hai aana
Sooey taiba jane walo, mujhe chorr kar na jana

Main tharrap raha hoon, meri be bassi to dekho
Main asseer-e ranj-o-gham hoon, meri be kali to dekho

Zara roza-e Nabi ka mujhe raasta dikhaana
Sooey taiba jane walo, mujhe chorr kar na jana

Darr-e-mustafa pe meri jab haazari lage gee
Mujhe phir karam se un ke naey zindagi mille gee

Mere laab pe raat din ho shahe batuha ka taraana
Sooey taiba jane walo, mujhe chorr kar na jana

Koi kal ke aik pal ka nahin kuch bhi hai barhossa
Mujhe humsafar bana lo kahin reh na jaoon tanha

Dar-e-mustafa hai Ishrat mera akhri tikhaana
Sooey taiba jane walo, mujhe chorr kar na jana

Sidra Se Bhi Aage Kaun Gaya Jibril E Amin Se Poocho-Hafiz Abdul Wakil

Sidra Se Bhi Aage Kaun Gaya Jibril e Amin Se Poocho
Mairaj Ka Dulha Kain Bana Jibril e Amin Se Poocho

Kya Hai Tauqeer e Shah e Umam Insan Se Ho Paye Na Raqam
Kya Farshe Zamin Kya Arshe Bari Sab Hai Aaqa Ke Zaire Qadam
Sultan e Madina Ka Rutba Jibril e Amin Se Poocho

Jibril Se Rabne Farmaya Jannat Ki Sawari Lekar Jaa
Mehboob Se Ye Jaakar Kehde Abb Aake Kare Wo Sher Zara
Fir Kaise Hui Tamil e Khuda Jibril e Amin Se Poocho

Hai Mehwe Rahat Shah e Deen, Shasopanj May Hai Jibril e Amin
Bedar Kare Kaise Seh Ko, Ho Jaye Kahi Na Beadbi
Taazime Nabi Hoti Hai Kya Jibril e Amin Se Poocho

Paas Aake Rasool e Azam Ke Paoo Ke Janib Khade Hue
Taazim Baja Laye Pehle Fir Paoo Pe Noori Lab Rakh Ke
Talwo Ko Diya Hai Kyun Bosa Jibril e Amin Se Poocho

Aqsa May Sawari Jab Pohnchi Nabiyo Ki Jamaat Haazir Thi
Karne Ko Adaa Rab Ka Sajda Saf Basta Jamaat Khadi Hui
Hai Sharf e Imamat Kise Mila Jibril e Amin Se Poocho

Pohnche Aakhir Oos Manzil Per Jalte Hai Jahan Jibril Ke Par
Jibril Ruke Sarkaar Badhe Pohnche Hai Arsh e Azam Par
Mehman e Khuda Hai Kaun Bana Jibril e Amin Se Poocho

Qaiser Hai Wahi Mehboob e Khuda Taha Yasin Hai Laqab Mila
Quran e Muqaddas Ne Unko Wa-rafana-laka-zikrak Hai Kaha
Khalique Ne Jo Baksha Hai Rutba Jibril e Amin Se Poocho

Falak Pe Dhoome Machi Hui Hai Malaika Jhoome Ja Rahe Hai
Ke Mustafa Apne Rab Ki Dawat Pe Aaj Tashrif Laa Rahe Hai!

Namaz Ki Ginti Kam Karana Hi Unka Maqsad Nahi Hai Wallah
Ye Shouq e Didar e Rab Hai NAZMI Palat Palat Ke Woh Jaa Rahe Hai!

Aa gaye aa gaye Mustafa aa gaye-Farhan Ali Qadri

Aa gaye aa gaey Mustafa aa gaye
Aa gaye aa gaye Mustafa aa gaye
Aaj dunia maiN Khair-ul-wara aa gaye
Bazm-e-Konain maiN har taraf shoor hay
Mustafa aa gaye Mujtaba aa gaye
Arsh walay Mubarak dainy lagay
Farsh walo Habib-e-Khuda aa gaye
Koon daita hay dainy ko moonh chahaye
Dainay wala hay sacha hamara Nabi
Kia khabar kitnay taray khilay chup gaye
Par naaN dobay naaN doba hamara Nabi
Har taraf hay Niazi samaN Eid ka
Mustafa aa gaye Mujhtaba aa gaye

May So Jaoo Ya Mustafa Kehtey Kehtey Kehtey-Owais Raza Qadri

May so jaoo Ya MUSTAFA (S.A.W.W) kehtey kehtey
Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey

Sitam pay Sitam seh gaey dushmano kay
Habeeb-e-KHUDA, Ya KHUDA kehtey kehtey

May so jaoo Ya MUSTAFA(S.A.W.W) kehtey kehtey
Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey

Guzarte thay kaantey bharrey raasto say
RASOOL-e-KHUDA, Marhaba kehtey kehtey

May so jaoo Ya MUSTAFA (S.A.W) kehtey kehtey
Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey

Huwey surkhuru Aap her maarkey may
Fakat Rabbana , Rabbana kehtey kehtey

May so jaoo Ya MUSTAFA (S.A.W) kehtey kehtey
Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey

Shahe her do Aalam ne naam-e-jabee say
Bhara paet shukrey KHUDA kehtey kehtey

May so jaoo Ya MUSTAFA (S.A.W) kehtey kehtey
Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey

Andheiroo may ham ne kiya hay ujaala
Aqeedat sey Noor-ul-Huda kehtey kehtey

May so jaoo Ya MUSTAFA (S.A.W) kehtey kehtey
Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey

Dilley muztarib ko qaraar aagya hay
Shabo roz Ya MUJTABA (S.A.W) kehte kehte

May so jaoo Ya MUSTAFA (S.A.W) kehtey kehtey
Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey

Museebat kay maaro kathan manzillo say
Guzer jaoo Ya Mustafa kehtey kehtey

Madine Ke Waali Do Alam Ke Daata-Owais Raza Qadri

Madine Ke Waali Do Alam Ke Daata Meri Bhi Soue Taibah Lagai Hai
May Mohtaj Hoo Ek Nigahe Karam Ka Tumhare Karam Se Meri Zindagi Hai

Hai Wadi e Aiwan Pe Khalique Ki Rehmat Musallam Hai Baitul Muqaddas Ki Azmat
Magar Qalb e Muztar Ko Hai Jiski Haajat Woh Sultan e Taibah Tumhari Gali Hai

Tumhare Hi Tukdo Pe Mera Guzara Tumhare Darbar Ka Hoo May Mangta
Jo Tumse Na Mangoo To Fir Kis Se Mangoo Tumhara To Saara Gharana Saqi Hai

Yahan Reh Ke Jina Hai Marne Se Badtar Wahan Jaake Marne Jine Se Behtar
Mayassar Jo Ho Unke Qadmo May Rehkar Wohi Zindagi Asla May Zindagi Hai

Mere Aaqa Aao Ke Mudda Hui Hai Teri Rah May Akhiya Bichate Bichate
Badi Hasrato Se Badi Chahato Se Bahut Deein Huey Ghar Sajate Sajate

Mera Hai Ye Iman Ye Mera Yaqin Hai Mere Mustafa (Sallaho Alayhe Wasslam) Sa Na Koi Hasin Hai
Rukh Unka Dekha Hai Jab Se Qamar Ne Nikalta Hai Mooh Ko Chupate Chupate

Madinah Yaad Ayaa Hai-Owais Raza Qadri

Mujhey Taybah main leh jaao, Madinah yaad ayaa hai
Meray Aqa ko bulwaao, Madinah yaad ayaa hai

Terii mehfil sajataa hoon, teray main geet gataa hoon
Sar-e-mehfil chaley aao, Madinah yaad ayaa hai

Main jetaa roz marta hoon, judaa'ii seh naheen saktaa
Meray Aqa ko batlaao, Madinah yaad ayaa hai

Merii tariiki-e-dil ka madawaa teraa aanaa hai
Meray Aqa chaley aa'o, Madinah yaad ayaa hai

Chaley hain qaafley Taybah akelaa chor kar mujh ko
Mujhey Taybah main pohncha'o, Madinah yaad ayaa hai

Terii furqat ne maaraa hai, terii rehmat saharaa hai
Qariib-e-marg hoon aa'o, Madinah yaad ayaa hai

Meray mayyat ko le jaanaa, Madinah paak main yaaro
Mujhe Taybah main dafnaa'o, Madinah yaad ayaa hai

Teri ummat ko mil kar ghairon se apno ne lutaa hai
Isey kamlii main chupaao, Madinah yaad ayaa hai

Hoo'ii hai jaan kii dushman teray Tahir ki yeh duniyaa
Isey kamlii main chupaa'o, Madinah yaad ayaa hai

Yeh Tahir teraa deewanah teri ummat ka khaadim hai
Mishan is ka bhi pelaa'o, Madinah yaad ayaa hai

Gunahgaaron khataakaaron seyaahkaaron ke Aqa ho
Nah Jilaani ko thukraao, Madinah yaad ayaa hai

Koi saleeqa hai aarzoo ka-Khurshid Ahmed

Koi saleeqa hai aarzoo ka, na bandagi meri bandagi hai
Yeh sab tumhara qaram hai aaqa keh baat ab tak bani hui hai

Kissi ka ehsan kyon uthain, kissi ko haalat kyon batain
Tumhein se mangein gey tum hi do gey, tumhare dar se hi loo lagi hai

Ata kiya mujh ko darde-ulfat, kaha thi yeh pur khata ki qismat
Mein iss karam ke kaha tha qabil, huzur ki banda parwari hai

Shoor o fikro nazar ke dairey, had ka in se barh na paain
Na choo sake un balandiyon ko, jaha maqame Muhammadi hai

Tajaliyon ke kafeel tum ho, murad tu ke khalil tum ho
Khuda ki roshan dalil tum ho, yeh sab tumhari hi roshni hai

Bashir kahiye nazir kahiye, unhein siraje munir kahiye
Jo sar ba sar hai kalam-e-rabbi, woh merey aaqa ki zindagi hai

Ammal ki merey asas kiya hai, bajuz nadamat ke paas kiya hai
Rahe salamat tumhari nisbat, mera to ek aasra yehi hai

Hai Qaaba bhi marja-e-khalaiq, bohat numayan hai yeh haqaiq
Magar jo maqsoode-e-aashqi hai, huzur ke dar ki haazri hai

Yehi hai khalid asas rehmat, yehi hai khalid bina-e-azmat
Nabi ka irfan zindagi hai, nabi ka irfan bandagi hai

Yeh sab tumhara qaram hai aaqa, keh baat ab tak bani hui hai

Khairul Bashar par Lakho Salam Lakho Darood-Owais Raza Qadri


Jinno Malaek Tere Ghulam
Sab se siwa hai Tera Muqaam
Yaseen O Taha Tere hi naam

Khairul Bashar par Lakho Salam
Lakho Darood aur Lakho Salam

Ala se Ala Tera Muqaam
Sab Ambiya ka Tu hai IMAM
Kul Aulia hai Tere Ghulam

Khairul Bashar par Lakho Salam
Lakho Darood aur Lakho Salam

Arshe baree tak charcha Tera
Shams o Qamar hai Sadqa Tera
Yeh mahe kamil husne tamam

Khairul Bashar par Lakho Salam
Lakho Darood aur Lakho Salam

Sab ko mayas'sar ho yeh muqaam
Pahoonche Madine bankar Ghulam
Padhte Darood aur Padhte Salam

Khairul Bashar par Lakho Salam
Lakho Darood aur Lakho Salam

Itna Karam to Farmaiye
Rauze pe sab ko bulwaiye
Hazir yahaan hai jitne ghulam

Khairul Bashar par Lakho Salam
Lakho Darood aur Lakho Salam

Teri Sana hai mera naseeb
Qurbaan Tujh par jaane Adeeb
Tujh par tassaduq Alam tamam

Khairul Bashar par Lakho Salam
Lakho Darood aur Lakho Salam

Allah ho Allah Ho Qalb Ko Us Ki Royet ki Hey Arzoo-Owais Raza Qadri

Hamd e Baari Taala

Allah ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho
Qalb Ko Us Ki Royet ki Hey Arzoo

Jis ka Jalwa Hey Alam Hey Har Char Soo
Balky Khud Nafs Mey Hey Wo Subhana Ho

Arsh Par Hey Magar Arsh Par Hey Magar Arsh Ko Justajo
Allah Ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho

Arsh O Farsh O Zaman O Dehaq Aey Khuda
Jis Taraf Dekhta Hoon Hey Jalwa Tera

Zary Zary Ki Ankhon Mey Tu He Ziya
Qatry Qatry Ki Tu He Tu Hey Abroo

Allah Ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho
Tu Kise jaan ki Aur Harja Hey Tu

Tu Munaza Muqam Sey Mubala Rasool
Ilmo Qudrat Sey Har Jaah He Tu Ku Ba Ku

Tery Jalway Hein Har Har Jaga Aey Haku
Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu

Naghma San Jany Gulshan Mey Charcha Tera
Jab Chay Zikry Haq Key Hein Subho Masan

Apni Apni Chahat Apni Apni Sada
Sab Ka Matlab Hey Wahid Key Wahid Hey Tu

Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu
Ta Hera Mey Jina Mey Teri Guftagu

Geet Tery He Gaty Hein Wo Khus Gloo
Koi Kehta Hey Haq Koi Kehta Hey Hu

Aur Sab Kehty Hein la Sharkala Hu
Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu

Khawab e Noori Key Aay Jo Noor e Khuda
e Noor Hoo Apna Zulm O Kada

jag Maga Uthy Dil Chera Ho Purziya
Noorion Ki Tarhan Shabn Ho Zikar Hu

Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu
Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah

Raata Bhi Madina Kee Baata Bhi Madina Kee-Qari Rizwan

Raata Bhi Madina Kee Baata Bhi Madina Kee
Jeena May Yah Jeena Hai Kiya Baat Hai Jeena Ki

Arsa Hua Taiba Ki Galiyoun Say Ya Guzra Hai
Is Waqt Bhi Galiyoun May Khushbu Hai Paseena Ki

May Madina Ki Galiyoun Pay Qurban
Jinsa Juzra Hai Shah-e-Madina

Is Tarha Say Mekhta Hai Rasta
Eatr Jaisa Lagay Hua Hai

Arsa Hua Taiba Ki Galiyoun Say Ya Guzra Hai
Is Waqt Bhi Galiyoun May Khushbu Hai Paseena Ki

Kiya Mahakta Ta Hai Mahakna Wala
Kay Bu Pay Chalta Hai Bhatkna Wala

Ambar Zami Abeer Hawa Musktar Gubar
Adna Ki Shankt Tera Rah Guzar Ki Hai

Arsa Hua Taiba Ki Galiyoun Say Ya Guzra Hai
Is Waqt Bhi Galiyoun May Khushbu Hai Paseena Ki

Wallah Jo Miljaya Mera Gul Ka Paseena
Manga Na Kabhi Eatr Na Phir Chaya Dulan Phool

Arsa Hua Taiba Ki Galiyoun Say Ya Guzra Hai
Is Waqt Bhi Galiyoun May Khushbu Hai Paseena Ki

Yah Zakam Hai Taiba Ka Yah Sabko Nahi MIlta
Koshish Na Kare Koi Is Zakam Ko Seena Ki

Yah Apni Nigaho Say Mastana Banata Hai
Mastana Banata Hai Deewana Banata Hai
Zahmat Hi Nahi Dayta Mahkar Ko Peena Ki

Har Saal Madina May Mirza Ko Bulata Hai
Sarkar Jagata Hai Takdeer Kamina Ki

Raata Bhi Madina Kee Baata Bhi Madina Kee
Jeena May Yah Jeena Hai Kiya Baat Hai Jeena Ki

Ey Mowla ik baar dikhadey Jalwa Kamli waley ka-Shahbaz Qamar

Ey Mowla ik baar dikhadey Jalwa Kamli waley ka
Tan man wara jis ney deykha chehra Kamli waley ka

Ghaus Qutb Abdaal Kalandar, sab Unkey gun gaathey hai
Farshain zameen par arshay bareen par, charcha Kamli waley ka

Qabr mey jab poonchein gey farishtey apna ta'ruf peysh karo
Tho keh dun ga unsey, keh mey hun mangta pyaray Aqa ka

Har neymat deyta hai Khuda, par waar keh Un par deta hai
Khataa hai alam sara sadqah Kamli waley ka

Ho gi talab meri yeh puri, duur woh karein gey wo duuri
Insha'Allah ham deykhein gey Rowza Kamli waley ka

Aey ishq E Nabi meray dil mein bhi sama jaana-Fasihuddin Soharwardi

Aey ishq-e-Nabi meray dil mein bhi sama jaana
Mujh ko bhi Muhammad ka deewanah bana jaana

Jo rang keh Jaami par Rumi peh charhaya thaa
Uss rang ki kuch rangath mujh peh bhi charhaa jaana

Qudrat ki nighahein bhi jis chehrey ko takthi hein
Uss chehra-e-anwar ka deedar karaa jaana

Jis khwaab mein ho jaeey deedar Nabi haasil
Aey ishq kabhi mujh ko woh neend sulaa jaana

Deedar-e-Muhammad ki hasrat tho rahe baaqi
Juz iss key har ik hasrat iss dil dey mitaa janaa

Duniya sey Riyaaz ho jab Uqbaa ki taraf jaana
Daagh-e-gham-e-Ahmad sey seeneh ko sajaa jaana

Bulla ki jaana main kaun-Rabbi Shergill

Bulla ki jaana main kaun
Bulla ki jaana main kaun
Bulla ki jaana main kaun
Bulla ki jaana main kaun

Na main moman vich maseetan
Na main vich kufar dian reetan
Na main pakan vich paleetan

Na main andar bed kitaban
Na main rehnda phaang sharaban
Na main rehnda mast kharaban

Na main shadi na ghamnaki
Na main vich paleetan pakeen
Na main aaabi na main khaki

Na main aatish na main paun
Bulla ki jana main kaun
Bulla ki jana main kaun
Bulla ki jana main kaun
Bulla ki jana main kaun

Na main arabi na lahori
Na main hindi shehar Nagaori
Na hindu na turk pashauri

Na main bhet mazhab de paya
Na main aadam hawwa jaya
Na koi apna naam dharaya

Avval aakhar aap nu jana
Na koi dooja hor pacchana
Mai ton na koi hor syana

Bulle shah kharha hai kaun
Bulla ki jaana main kaun
Bulla ki jaana main kaun
Bulla ki jaana main kaun
Bulla ki jaana main kaun

Na main moosa na pharoah
Na main jagan na vich saun
Na main aatish na main paun
Na main rahnda vich Nadaun
Na main baitthan na vich bhaun
Bulle shah kharha hai kaun

Bulla ki jaana main kaun
oooooo...
Bulla ki jaana main kaun

Apni Atta Ka Haq Ney Ye manzar Dekha Diya-Fasihuddin Soharwardi

Apni Atta Ka Haq Ney Ye manzar Dekha Diya
Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya

Kohey Shahe Arab ka Bana Kar Mujhy Faqeer
Shahe Ka Martaba Mery Dil Sey Ghata Diya

Esa Karim Esa Sakhi Aur Kon Hey
Mangta Jo Aya Mangny Sultan Bana Diya

Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya

Pohncha Diya Khuda Ney Dare Shah Par Humy
Allah Ney Ye Naat Ka Acha Sila Diya

Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya

Hum Sey Ziada Kon Hey Dunia Mey Khush Naseeb
Hum Ko Khuda Ney Un Ka Sana Khawan bana Diya

Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya

Rashke Falaq hey Mery Muqadar Ki Rifatein
Mujh Ko Ghulam un Ka Khuda Ney Bana Diya

Ankho Mey Bas Giya Hey Jamale Khuda Riaz
Deedar Jab sey Un ka Khuda Ney Kara Diya

Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya
Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya

Aye Mere Mola Mola Mola Mola-Muhammad Ali Soharwardi

Apna Haram dikha de Dono jahan ke Malik
Kismat Meri Jaga De Dono Jahan Ke Malik

Aye Mere Mola Mola Mola Mola
Aey Mere Mola Mola Mola Mola

Barson se Arzoo Hai -Taiba Ki Arzoo Hai
Ek Baar hi Dikha DE Har Saal hi Dikha de Dono Jahan Ke Malim

Aye Mere Mola Mola Mola Mola
Aey Mere Mola Mola Mola Mola

Ishq-eNabi ki Khusboo Karya-e-Jaan Main Rkha De
Ulfat Main Dil Basa De- Dono Jahan ke Malik

Aye Mere Mola Mola Mola Mola
Aey Mere Mola Mola Mola Mola

Duniya o Akhirat ke Har Gham se Tu Bari Hai
Mujda Mujhe Suna De Dono Jahan ke Malik

Aye Mere Mola Mola Mola Mola
Aey Mere Mola Mola Mola Mola

Duniya ke Har Sitam se Uqba ke Har Alam se
Daman Mera Chupa de Dono Jahan ke Malik

Aye Mere Mola Mola Mola Mola
Aey Mere Mola Mola Mola Mola

Baitha Nabi ke Dar Jiss Dam ko Yeh Gada Hai
Uss Dam isse Pana de Dono Jahan ke Malik

Aye Mere Mola Mola Mola Mola
Aey Mere Mola Mola Mola Mola

Ya rab he bakhsh dena bandon ko kam tera-Owais Raza Qadri

Allaha Allah Allah Allah Hu Allah
Allaha Allah Allah Allah Hu Allah

Ya Rab Hai Bakhsh Dena Bandon Ko Kaam Tera
La Taqnatu Suna Hai Humne Kalaam Tera

Allaha Allah Allah Allah Hu Allah
Allaha Allah Allah Allah Hu Allah

Hai Tu Hee Denay Wala Pasti Se Dey Bulandi
Asfal Maqaam Mera A’ala Maqaam Tera

Allaha Allah Allah Allah Hu Allah
Allaha Allah Allah Allah Hu Allah

Mehroom Kyun Rahoon Mein Jee Bharkay Kyun Na Loon mein
Deyta Hai Rizq Sabko Hai Faiz A’am Tera

Allaha Allah Allah Allah Hu Allah
Allaha Allah Allah Allah Hu Allah

Iman Ki Kaheingay Iman Hai Hamara
Ahmed Rasool Tera Mushaf Kalaam Tera

Jab Tak Hai Dil Badan Mein Har Dum Ho Yaad Teri
Jab Tak Zabaan Hai Moo Mein Jaari Ho Naam Tera

Allaha Allah Allah Allah Hu Allah
Allaha Allah Allah Allah Hu Allah

ShamsUdduha Muhammad BadrUdduja Muhammad
Hai Noor-e-Pak Roshan Har Subho Shaam Tera

Allaha Allah Allah Allah Hu Allah
Allaha Allah Allah Allah Hu Allah

Ye Daagh Bhi Na Hoga Tere Siwa Kissi Ka
Konain Mein Hai Jou Kuch Woh Hai Tamaam Tera

Allaha Allah Allah Allah Hu Allah
Allaha Allah Allah Allah Hu Allah

Meetha Meetha Pyara Pyara Mere Muhammad Ka Naam-Junaid Jamshed

Meetha Meetha Pyara Pyara Mere Muhammad Ka Naam
Meetha Meetha Pyara Pyara Mere Muhammad Ka Naam
Meetha Meetha Pyara Pyara Mere Muhammad Ka Naam
Hum Sab Bhejain Un Pay Hazaron Lakhon Durood-o-Salam

Meetha Meetha Pyara Pyara Mere Muhammad Ka Naam
Meetha Meetha Pyara Pyara Mere Muhammad Ka Naam
Meetha Meetha Pyara Pyara Mere Muhammad Ka Naam

Khair Ul Bashr Woh Khair Ul Wara Woh Hum Sab Ke Rahnuma Woh
Khair Ul Bashr Woh Khair Ul Wara Woh Hum Sab Ke Rahnuma Woh
Uswa Unhi Ki Rah E Amal Hai Zindagi Hai Chiragh
Hum Sab Bhejain Un Pay Hazaron Lakhon Durood-o-Salam
Kamil Insaan Mehboob Yazdan Mehboob E Har Khas O A’am

Meetha Meetha Pyara Pyara Mere Muhammad Ka Naam
Meetha Meetha Pyara Pyara Mere Muhammad Ka Naam

Abb Woh A’ata O Lutf O Enayat Un Ki Zaat Main Ghayat
Abb Woh A’ata O Lutf O Enayat Un Ki Zaat Main Ghayat
Rab Jis Ki Ta’aref Main Keh Day Innaka la A’ala Khuluqin Azeem
Hum Sab Bhejain Un Pay Hazaron Lakhon Durood-o-Salam
Roothay Huaoon Ko Rab Se Milana Meray Muhammad Ka Kaam

Aaya Ramzaan ka mahina Khafila chala soo-e-Madina-Shafique Ahmed

Aaya Ramzaan ka mahina Khafila chala soo-e-Madina
Mujhe bhi do izn-e-Madina aane ki Sarkare Madina

Mujhe na aaya bulawa kitni hai dil me tamanna
kash Aqa mai bhi dekh leta bahar-e-Ramzaan-e-Madina

Meri qismat ko bhi Khudara Tum sajana
Hasnain ke sadqe me dikhana baar baar Madina

Kahaan jaun kahaan daman pasaroon mai Malik-e-Madina
Aas lagai hamne Tumhare Dar se ae Shahinsha-e-Madina

kaheen aisa na ho seene me dafn karke gham-e-Madina
Mai duniya se chala jaon bin deed ke Madina

Ghamaun ke sailab me dooba jaraha hoon Sultan-e-Madina
LILLAH IMDAD ko aao meri Sarwar-e-Madina

Iss saal zaroor mujh aasi ko Sarkar bulana
Rauda-e-Anwar aur Gumbade Khizra dikhana

Chamka kar meri aankhaun ko jalwa dikha dena
Dekh loon aankh bharke Tum ko Shahe Madina

Duniya ki mohabbat dil se nikal jae Aqa-e-Madina
Rahe chashm-e-nam dil me bas gham-e-Madina

Maana ke nahi qabil hoon jo dekhoon Tumhara Madina
Phir laoon kahaan se wo aamal mai Sarkar-e-Madina

Nahi jaber ke paas koi zar jo dekhe Pyara Madina
Itna to ho Karam khabaun me ise dikhado Madina

Nahi mal o zar to kya hain main gareeb hoon yehi na
mere ishq mujhko le chal tu janibe madina madina.

Aaya hai bulawa mujhe darbar E Nabi se-Nayyara Noor

pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se

her aah gaye arsh pe ye aah ki kismat
her ashk pe aik khuld hai her ashk ki qeemat
tohfa ye mila hai sarkar-e-nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se
darbare-nabi se

bhaati nahi humdum mujhe jannat ki jawaani
sunta nahi zahid us mein hooron ki kahani
ulfat hai mujhe sayaa-e-deewar-e-nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se
darbare-nabi se

irfan ki kasak khulq ki mai sabr ka saagar
kiya lutf mila kerta hai jo dete hein sarwar
ye pooch le aake koi beemar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
darbar-e-nabi se
pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
darbar-e-nabi se
pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
darbar-e-nabi se

La ilaha illa Ho La ilaha illa Ho-Fasih Ud Din Sarwardi


Aik Talab Hai Aik Hi Hoo La iLaha illa Ho
Ab Tu hi Tu aur Tu hi Tu La ilaha illah Ho

Teri ibadat kiya kehna Teri Haqeeqat kiya Kehna
Ho Gayi Duniya Qibla Ro La ilaha illah Ho

Uth Gya Ankhon Se Parday Raz Khule Sab Jalwon Ke
Samne Jab Ho Mere Tu La ilaha illah Ho

Tujh ko Dekha hai Aksar Tujh ko Suna Unko Sun Kar
Tujh Main Hai who aur Un Main Tu- La ilaha illah Ho

Salle Alaa Se Goonj Uthi Tere Haram ki Aj Fiza
Aayi Madine ki Khushboo La ilaha illah Ho

Tere Habeeb ke Sadqe-Tere Dar Tak Pouncha Hon

Dil main Asar Kare Teri Khoo La ilaha illah Ho

Rahmat da daryua elahi har dam vagh da tera Allah-Shabaz Qamar Faridi

Allah nabi da naam layye
Rahmat da daryua elahi har dam vagh da tera Allah
Je ik katra bakhshey menu kamban javey mera
Allah nabi da naam layye

Je main vekhan amla waley kuj ne merey pallay
Je main vekha rahmat rab di balle balle balle
Allah nabi da naam layye

Main neeva mera murshid ucha uchiyan sang milayee
Sadqay jawan inna uchiyaan ta-ee jinna neeviyan sang nibhayee
Allah nabi da naam layye

Lakh karey koi karda paavey dil vich Allah Allah
Haan jey nai dil vich ishq nabi da samjho paada khaali
Allah nabi da naam layye

Murshid de davaarey uttay mohkam layyi - e chaunka
Naavey navvey na yaar banaye vaang kamineya loka
Allah nabi da naam layye

Laash meri nu hat na lana jab tak peer na away
Lash meri nu na nehlana te na kafnana na dafnana jab tak peer na away sona jab tak
Laash meri nu hat na lana nu na nehlana te na kafnana na dafnana hat na lana na nehlana te na kafnana na dafnana jab tak peer na away
Aap parey takbeera meriyan vich baqi dafnavey
na nehlana te na kafnana na dafnana

maali da kal paani jera Kal kachey ya pakkey kal kachey ya pakkey
peer mureedan de sar teya rehnda jootay hon ya sachey
Allah nabi da naam layye

Ae shahenshah-e-madina assalat-o-wassalam-Owais Raza Qadri

ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam
zeenat-e arsh-e mu'alla, assalat-o-wassalam

rabbi-habli-ummati kehte huway paida huay
rab ne farmaya ke bakhsha assalat-o-wassalam

ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arsh-e mu'alla, assalat-o-wassalam

sar jhuka kar ba adab ishq-e rasoolallah may,
keh raha he har sitara assalat-o-wassalam

ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arshe-e mu'alla, assalat-o-wassalam

mu'mino padhthay raho tum apnay aqa par durood
he farishto ka wazifa, assalat-o-wassalam

ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arshe mu'alla, assalat-o-wassalam

mein woh sunni hu jamil-e qadri marnay ke ba'd
mayra laasha bhi kahe ga assalat-o-wassalam

ae shahenshah-e-madina assalat-o-wassalam
zeenat-e-arshe mu'allah, assalat-o-wassalam

jab firishtay qabr mein jalwa dhikha-e aap ka
ho zabban par pyaare aqa, assalat-o-wassalam,

ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arsh-e mu'allah, assalatowassalam.

Aaya Kamli Wala Dukh muk gaye nay Marhaba-Shahid Mahmood

Aaya kamli wala, aaya kamli wala
Aya kamli wala, aya qamli vala.

Dukh muk gaye nay, sab duniya day
Khushiyaan day welay aaye nay
Ban rehmat Rab di duniya tay, aaqa tashreef liyae nay

Aamade Mustafa, marahaba! marhaba!
Marahaba marahaba, amad e Mustafa!

Aaya kamli vala, aaya kamli vala
Aya kamli vala, aya qamli wala.

Kithay kasam authayi chehray di
Yaseen day noori sehray di
Yu’ati ka faterda keh keh kay
Allah nay naaz authaye nay.

Suraj noun moriya sohnay nay
Chan tor kay joriya sohnay nay
Pathraan nay kalmay parh parh kay
Sarkar day geet sunaye nay

Aamade Mustafa, marahaba! marhaba!
Marahaba marahaba, amad e Mustafa!

Aaya kamli vala, aaya kamli vala
Aya kamli vala, aya qamli wala.

Kyun rokay jashn manawan toun
Chandiyaan tay batiyaan lawan toun
Qabay di chat tay khud chanday
Jibril toun Rub lagwaye nay.

Amad e Mustafa, marahaba! marhaba!
Marahaba marahaba, aamad e Mustafa!

Aaya kamli vala, aaya kamli vala
Aya kamli vala, aya qamli wala.

Marhaba! Marhaba! Marhaba! Marhaba! Marhaba!
Marhaba! Marhaba! Marhaba! Marhaba! Marhaba!

Hamain apna Woh (s.a.a.w) kehtey hain-Farhan Ali Qadri

Hammay apna Woh (S.A.W) kehtey hain, Muhabbat ho tou aise ho
Hammay nazrou may rakhtey hain, Inaayat ho tou aise ho

Woh (S.A.W) pathar maarne waalo ko detay hain dua aksar
Koi lao misaal aise, sharaafat hou tou aise ho

Ishaara jab Woh (S.A.W) famaey, tou pathar bol uthtay hain
Nabuwwat ho tou aise ho, Risaalat hou tou aise ho

Wahaaa mujrim ko milti hain pahaei bhi jazaein bhi
Madiney may jo lagti hay, adalat ho tou aise ho

Maire Aqa (S.A.W) ki wilaadat per huwey sab ko ata detey
Issey milaad kehtey hain, wilaadat ho tou aise ho

Namaz-e-Asr ko qurbaan ker kay Un (S.A.W) ki hasti per
Ali Maula (R.A) ne batlaaya, ibaadat ho tou aise ho

Namaz-e-Asr ko qurbaan ker kay Un (S.A.W.W) kay chahrey per
Ali Maula (R.A) ne batlaaya, ziyaarat ho tou aise ho

Hussain ibne Ali (R.A) ne karbala may ye kiya saabit
Rahe jaari jo nayzey per, tilaawat ho tou aise ho

Meri Arzoo Muhammad Meri Justajoo Madinah-Aamir Liaquat Hussain

Hey Kaleem Ka Tassawor
Hay Khayal-e-Toor-e-Sina

Meri Arzoo Muhammad
Meri Justajoo Madinah      

Meri Arzoo Muhammad
Meri Justajoo Madinah

Main Mareez-e-Mustafa Hoon
Mujhey Chero Na Tabibo  

Main Mareez-e-Mustafa Hoon
Mujhey Chero Na Tabibo    

Meri Zindagi Jo Chaho
Mujhey Ley Chalo Madinah

Meri Arzoo Muhammad
Meri Justajoo Madinah  

Meri Arzoo Muhammad
Meri Justajoo Madinah   

Mujhey Dushmano Na Cherho

Mujhey Dushmano Na Cherho
Mera Hey Koi Jahan Main

Main Abhi Pukat Loonga "ALLAH"
Nahin Door Hey Madinah

Meri Arzoo Muhammad
Meri Justajoo Madinah   
Meri Arzoo Muhammad
Meri Justajoo Madinah

Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana-Amir Liaquat Hussain

Allaho Allahoo Allah, Allaho Allahoo Allah
Allaho Allahoo Allaho Allaho Allahho Allah

Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana
Aa dil main tujhay rakhloon aie jalwa e janana.

Allaho Allahoo Allah, Allaho Allahoo Allah…

Kyun aankh milayee thi, kyoon aag lagayi thee
Kyun aag lagayee thi…
Aab rukh ko chupa baithay kar kay mujhay deewana.

Bekhud Kiye Dete Hain andaaz e hijabana
Aa dil main tujhay rakhloon aie jalwa e janana.

Allaho Allahoo Allah, Allaho Allahoo Allah…

Zahid meri kismat mein sajday hain usi dar kay
Sajday hain usi dar kay…
Chuta hai na chuthay ga sange dar e janana.

Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana
Aa dil main tujhay rakhloon aie jalwa e janana.

Allaho Allahoo Allah, Allaho Allahoo Allah…

Kiya lutf ho mehshar mein main shikway kiye jaoon
Main shikway kiye jaoon…
Woh haskay kahay jayein deewana hai dewana.

Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana
Aa dil main tujhay rakhloon aie jalwa e janana.

Allaho Allahoo Allah, Allaho Allahoo Allah…

Saaki teray aatay hee yeh josh hai masti ka
Yeh josh hai masti ka…
Sheshay pay gira sheesha pemanay paymana.

Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana
Aa dil main tujhay rakhloon aie jalwa e janana.

Allaho Allahoo Allah, Allaho Allahoo Allah…

Maloom nahin baydam mein kon houn aur kiya hoon
Mein kon houn aur kiya hoon…
Youn apnoon main apna houn baiganoon mein baygana.

Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana
Aa dil main tujhay rakhloon aie jalwa e janana.

Allaho Allahoo Allah, Allaho Allahoo Allah
Allaho Allahoo Allaho Allaho Allahho Allah

Wah wah subhanallah Wah wah subhanallah-Owais Raza Qadri

Wah wah subhanallah  Wah wah subhan allah
Wah wah subhanallah  Wah wah subhan allah

Naat ki tawfeek bakhshi ey khuda tou ne hamein
Iss se bar kar aur kya im’aam hooga wah wah

Maahe ramzaan-ul- mubaarak ki ye pyaarii sa’atein
Aur naghmein hain labon par Mustafa ke wah wah

Mulke Pakistan ke ye pyaarey pyaarey naatkhwaan
Inko sunkar bool uthaa saara zamaana wah wah

Lab se to naatein paree hain ab a’mal se bhi parho
Chaahtey ho do jahan main ho tumhaaree wah wah

Kya muqaddar toune payee ey UBAID QADRI
Naat sunna naat parna naat likhna wah wah

Tu ne poochi hai imamat ki haqeeqat mujhe se-Junaid Jamshed

Tounay puche hai imaamat ki haqiqat mujh sai
Haq tujhay meri tarha sahib-e-asraar karai
Tounay puche hai imaamat ki haqiqat mujh sai
Haq tujhay meri tarha sahib-e-asraar karai

Hai wohi taray zamanay ka imam-e-barhaq
jo tujhay hazir o moujood sai baizaar karay
jo tujhay hazir o moujood sai baizaar karay
Maut kai ainai mai tujh ko dikha kar rukhdost
Maut kai ainai mai tujh ko dikha kar rukhdost
Zindagi teray liyay aur bhi dushwaar karai,
daikai ehsaas-e-zya tera lahou garma dai
daikai ehsaas-e-zya tera lahou garma dai
Faqr ki saan charha kar tujhay talwaar karai
Faqr ki saan charha kar tujhay talwaar karai

Fitna-e-milatai baizaa hai imamat uski
Jou musalma ko salaati ka parastar kari
Fitna-e-milatai baizaa hai imamat uski....
Jou musalma ko salaati ka parastar kari...
Jou musalma ko salaati ka parastaar karaiii

Tounay puche hai imaamat ki haqiqat mujh sai
Haq tujhay meri tarha sahib-e-asraar karai

Hai wohi taray zamanay ka imam-e-barhaq
jo tujhay hazir o moujood sai baizaar karay
Zindagi teray liyay aur bhi dushwaar karai
Faqr ki saan charha kar tujhay talwaar karai
tujhay talwaar karai

Shala Wasda Rahe Tera Sohna Haram-Seher Azam

Hum Ghulamon Ka Rakhna Khudara Bharam
Hum Ghulamon Ka Rakhna Khudara Bharam
Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram
Tera Sohna Haram
Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram
Tera Sohna Haram

Ya Shafi E Umam Lillah Kardo Karam
Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram
Hum Ghulamon Ka Rakhna Khudara Bharam
Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram
Tera Sohna Haram

Teri Choukhat Ke Mangtay Hai Jaaye Kahan
Apni Rahmat Se Bhar Dijiye Jholiyan
Ya Rasoolallah
Teri Choukhat Ke Mangat Hai Jaaye Kahan
Apni Rahmat Se Bhar Dijiye Jholiyan
Hum Hai Umeed Wale Karam Ho Karam
Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram
Tera Sohna Haram

Muntashir Hai Hayaalat Ki Vah Diyah
Lut Gaya Hai Sakoon Valiye Doh Jahaan
Door Ho Jaye Gham Ya Shah-e-mohataram
Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram
Tera Sohna Haram

Ya Nabi Apni Ulfat Ki Soh Baat De
Apni Shayan-e-shah Hum Ko Khairaat De
Iss Se Matlab Nahi Ke Siva Ho Ya Kam
Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram
Tera Sohna Haram

Teri Yaadon Se Maamoor Seenah Rahe
Saamne Meray Tera Madinah Rahe
Dar Pay Baita Rahu Leke Mein Jash Mein Lam
Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram
Tera Sohna Haram
Kiss Ko Jaakar Kahe Taajdaar-e-haram
Dera Dale Hue Hain Zamaane Ke Gham
Rahmat Farma De Abh Teri Ummat Hain Hum
Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram
Tera Sohna Haram

Meray Haatho Mein Ka Sah Hai Umeed Ka
Hoo Bekari Shahah Mein Teri Deedh Ka
Mein Gadah-e-haram Tu Nabi Mohataram
Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram
Tera Sohna Haram

Haazri Ho Niyazi Ki Darbaar Mein
Zindagi Ho Bass Teray Asghaar Mein
Aate Jaatey Rahe Teri Choukhat Pe Hum
Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram
Tera Sohna Haram

Hum Ghulamon Ka Rakhna Khudara Bharam
Hum Ghulamon Ka Rakhna Khudara Bharam
Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram
Tera Sohna Haram        

Madinay Ko Jaayein ye ji chahata hai-Zulfiqar Ali

Madine ko jaaye, yeh jee chata hai
Muqaddar banaye, yeh jee chata hai
Madine ko jaaye.

Madine ke aaqa, do alam ke maula
Tere paas aaye, yeh jee chata hai
Madine ko jaaye.

Jahan dono alam hai, mehve tamana
Wahan sar jhukaye, yeh jee chata hai
Madine ko jaaye.

Mohammed ki baatein, Mohammed ki seerat
Sune aur sunaye, yeh jee chata hai
Madine ko jaaye.

Dilon se jo nikle, khayale nabi mein
Sune wo saadaein, yeh jee chata hai
Madine ko jaaye.

Pahunch jaaye behzad, jab hum Madina
To khud ko na paaye, yeh jee chata hai
Madine ko jaaye, yeh jee chata hai
Muqaddar banaye, yeh jee chata hai
Madine ko jaaye, yeh jee chata hai
Muqaddar banaye, yeh jee chata hai

Raate bhi Madine ki baate bhi Madine ki-Qari Rizwan

Raate bhi Madine ki baate bhi Madine ki
Jeena mein ye jeena hai kya baat hai jeene ki

Arsa huwa Taiba ki galiyon se ye guzra hai
Is waqt bhi galiyon me khushbu hai paseene ki

Mein Madine ki galiyon pe qurban
Jinse guzra he Shah-e-Madinah

Is tarha se mehekta hai raasta
Itr jaisa lage huwa hai

Arsa huwa Taiba ki galiyon se ye guzra hai
Is waqt bhi galiyon me khushbu hai paseene ki

Kya mehekta ta hai mehekne wala
Ke buu pe chalta hai bhatakne wala

Arsa huwa Taiba ki galiyon se ye guzra hai
Is waqt bhi galiyon me khushbu hai paseene ki

Wallah jo miljaaye tera gul ka paseena
Maanga na kabhi itr na phir chaaya dulan phool

Arsa huwa Taiba ki galiyon se ye guzra hai
Is waqt bhi galiyon me khushbu hai paseene ki

Ye zakham hai Taiba ka ye sabko nahi milta
Koshish na kare koi is zakham ko seena ki

Ye apni nigaaho se mastaana banata hai
Mastaana banata hai deewana banata hai

Har saal Madine me Mirza ko bulaata hai
Sarkar jagaata hai taqdeer kameene ki

Raate bhi Madine ki baate bhi Madine ki
Jeena mein ye jeena hai kya baat hai jeene ki.

Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte-Owais Raza Qadri

Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte
Jo yaad e Mustafa se dil ko behlaya nahin kartay.

Zaban per shikwae ranj o alam laya nahin karte
Nabi kay naam lewa gham say ghabraya nahin karte.

Yeh darbaar e Mohammad hai yahan apnoon ka kiya kehna
Yahaan se hath khali gheir bhi jaya nehi karte.

Are o na samaj qurbaan hoja Inke roze par
Yeh lamhe zindagi me baar baar aya nehin karte.

Yeh he darbaar e Muhammed hai yahaan milta hei bemange
Are nadan yahaan daman ko phelaya nehi karte.

Madinay jo bhi jata hai, woh jholi bhar kay lata hai
Sakhi data hain khali haath lotaya nahin kertay.

Mohammad Mustafa key bagh key sabh phool aise hain
Jo bepani ke tar rehte hain murjaya nahi karte.

Nadamat sath le kar hashr mein ae aasio jana
Suna hei sharm waloon ko woh sharmaya nehi karte.

Jo unke damaan e rehmet say wabasta hai ae Hamid,
Kisi kay samnay woh haath phelaya nehi karte.

Mohammad Mustafa ki shaan e rehmet to zarah dekho,
Sittam sehte to hain lekin sittam daya nehi karte.

Aggar ho jazba e sadiq to aksar humne dekha he,
Woh khud tashreef le ate hain tarpaya nehi karte.

Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte,
Jo yaad e Mustafa se dil ko garmaya nehi karte.

Assalam Asalam Asalaam Aasalam-Aamir Liaquat

Air remat e azeem kay mehman assalam
Quran kay nazool kay saman asalam,
Ramadan Assalam, Aie Ramzan Asalam.
Anwar e mustafa ka ujala liye huey
Humday khuda ka saath hawala liye huway.
Tu aagaya hai aie mah e zeshaan assalam.
Ramadan Assalam, Aie Ramazan Asalam.
Kyun na tujhay salaam karein arsh ore zameen
Teray sabab say sajdoon main jhuknay lagein jabeen

Juzdaan mein rahay nahin Quran assalam
Ramadaan Assalam, Aie Ramdan Asalam.
Punjgana ho namaz kay har jo zakat ho
Hum sab rajoh kerat hain rehman ki taraf
Lekin karam ki had hai yeh Rab e Kareem ki
Ramzan chal kay aata hai insaan ki taraf
Phir masjidoon main ronakein aabad ho gayein
Bholi hoyi aabadatein phir yaad ho gayein
Hum per bara hai tera yeh ehsan asalam
Ramaadan Assalam, Aie Ramazan Asalam.
Sad shuker teray saath hai, pegham e eid bhi
Yani kay teray baad hai rozay saeed bhi
Kehtay hai tujh ko Aamir or Rehan asaalam
Ramadan Assalam, Aie Ramzan Asalam.

Khuda ki azmateein kya hai Mohammd Mustafa jane-Abdul Raouf Roufi

Khuda ki azmateein kya hai Mohammd Mustafa jane
Maqame Mustafa kya hai Mohammad ka Khuda jane

Sada karna mere bas mei tha main ne to sada kar di
Wo kya dei gei main kya loun ga sakhi jane gadha jane

Darana mujh ko to kyoun hai azaab-e-Kabbar se wahid
Wahan Sarkaar aye gei khata jane atta jane

Meri mathi Madine Paak ki Ra'ah mein poncha dena
Kahan le jaye ghi is ko Madine ki hawa jane

Kaha Jibreal ne Sidra talak meri risaaiy hai
Hai kitni manzilein aage Nabi jane Khuda jane

Hamme to shurkhru hona hai Aqa ki nigahoun mein
Zamane ka hai kya Nasir bura jane bala jane

Gunahon Ki Nahi Jaati Hai Adat Ya Rasool Allah-Owais Raza Qadri

Gunahon Ki Nahi Jaati Hai Adat Ya Rasool Allah
Tumhi Ab Kuch Karo Mah-e-Risalat Ya Rasool Allah
Tumhi Ab Kuch Karo Mah-e-Risalat Ya Rasool Allah

Main Bachchna Chahta Hon Haaye,Phir Bhi Bach Nahi Pata
Main Bachchna Chahta Hon Haaye,Phir Bhi Bach Nahi Pata
Gunahon Ki Pari Hai Aisi Aadat Ya Rasool Allah
Gunahon Ki Pari Hai Aisi Aadat Ya Rasool Allah

Laga Takya Gunahon Ka Para Din Raat Soata Hon
Laga Takya Gunahon Ka Para Din Raat Soata Hon
Mujhe Ab Khawab-e-Gaflat se Jaga Do Ya Rasool Allah
Mujhe Ab Khawab-e-Gaflat se Jaga Do Ya Rasool Allah

Main Hon Sunni Rahon Sunni Maron Sunni Madine Main
Main Hon Sunni Rahon Sunni Maron Sunni Madine Main
Baqi-e-Pak Main Par Jaaye Durbat Ya Rasool Allah

Shaha Attar Aana Chahta Hai Tere Roze Par
Shaha Attar Aana Chahta Hai Tere Roze Par
Ataa Ho Hazri Ki phir Ijazat Ya Rasool Allah
Ataa Ho Hazri Ki phir Ijazat Ya Rasool Allah

Chalo diyaar-e-nabi ki jaanib durood lab par saja saja kar-Owais Raza Qadri

Chalo diyaar-e-nabi ki jaanib durood lab par saja saja kar
Bahaar luuttain ge ham karam ki dilon ko daman bana bana kar

Na un ke jesa sakhi hei koii na un ke jesa ghani hei koii
Wo be-nawa-o ka har jaga se nawaazte hein bula bula kar

Mein wo nikamma hun jisski jholi main koii husn-e-amal nahiin hei
Magar wo ihsaan kar rahe hein khata-ain meri chhupa chhupa kar

Hei unki ummat se pyaar kitna karam hei rahmat sha'aar kitna
Hamaare jurmon ko dho rahe hein wo apne aansu baha baha kar

Yahi asaas-e-amal hei meri issi se bigrri bani hei meri
Samett-ta hun karam khuda ka nabi ki naatain suna suna kar

Wo raahain ab tak saji huii hein dilon ka kaaba bani huii hein
Jahaan jahaan se huzur guzre hein naqsh apna jama jama kar

Agar muqaddar ne yaawri ki agar madine gya mein Khaalid
Qadam qadam khaak uss gali ki mein chuum lun ga uttha uttha kar.

Aa gaye aa gaye Mustafa aa gaye-Farhan Qadri

Aa gaye aa gaye Mustafa aa gaye
Aaj dunia maiN Khair-ul-wara aa gaye

Bazm-e-Konain maiN har taraf shoor hay
Mustafa aa gaye Mujtaba aa gaye

Arsh walay Mubarak dainy lagay
Farsh walo Habib-e-Khuda aa gaye

Koon daita hay dainy ko moonh chahaye
Dainay wala hay sacha hamara Nabi
Kia khabar kitnay taray khilay chup gaye
Par naaN dobay naaN doba hamara Nabi

Har taraf hay Niazi samaN Eid ka
Mustafa aa gaye Mujhtaba aa gaye

Har taraf Teergi thi Na thi Roshni
Aap Aaye to sub ko mili Roshni.

Khilkate Awaleen Khatamal Mursaleen
Aap Pehli Kiran Aakhri Roshni.

Mustafa ki men Tauseef karta Raha
Umar bhar mere ghar men rahi Roshni.

To Do jahan ka Ujala Hamara Nabi
Hai Bari Shaan Wala Hamra Nabi.

Aa gaye aa gaye Mustafa aa gaye
Aaj dunia maiN Khair-ul-wara aa gaye..

Noori mehfil pay chadar tanni noor ki-Hooria Faheem

Noori mehfil pay chadar tanni noor ki,
Noor phela huwa aaj ki raat hai.
Chandni mein hain dubay huwey do jahan,
Kon jalwa numa aaj ki raat hai.
Farsh per dhoom hai, arsh per dhoom hai
Badnasibi hai uski jo mehroom hai,
Phir milay gi yeh shab kisko maloom hai
Aam lutfay Khuda aaj ki raat hai.
Abray rehmat hai mehfil pay chaye huwey
Aasman say malaik hain aaye huey
Khud Muhammed hain tashreef laye huwey
Kis kadar jaan fiza aaj ki raat hai.

Manglo Mang lo chashme tar mang lo
Dard e dil aur husn e nazar manglo
Kamli wale ki nagri mein ghar manglo
Mangnay ka maza aaj ki raat hai.
Momino aaj ganj e sakha lutlo
Lutlo aie marizo shifa lootlo
Asiyo rehmat e Mustafa lootlo
Babay rehmat khula aaj ki raat hai.
Khoob honay do ashkoon ki barsat ko
Do salami Muhammed ki barat ko
Choom lo chum lo aaj ki raat ko
Shab qadar kay guman aaj ki raat hai.
Waqt laye Khuda sabh Madinay chalein
Lutnay rehmatoon kay khazinay chalein
Sabh ki manzil ki janib safinay chalein
Meri sa’aim dua aaj ki raat hai.

Meri Arzoo Muhammad (SAW) Meri Justajoo Madina-Khursheed Ahmed

Na kaleem ka tasawwur Na khiyaal-e-tur-e-sinaa
meri aarzu Muhammad meri justuju Madinah

main gadaae Mustafa hun meri azmatein nah poocho
mujhe deykh kar jahannam ko bhi aa geya paseenah

mujhe dushmano nah cherho mera koi hai jahaan main
main abhi pukaar lun ga naheen dur hai Madinah

main mareez-e-Mustafa hun mujhe cherho nah tabibo
meri zindagi jo chaaho mujhe le chalo Madinah

meray dubne main baqi nah koi kasar rahi thi
kahaa "almadad Muhammad" tho ubhar geyaa safinah

siwaa is ke meray dil mein koi aarzu nahein hai
mujhe mowt bhi jo aaey tho ho saamne Madinah

kabhi aey Shakeel dil se nah mite khiyaal-e-Ahmad
isi arazu mein marna isi arazu mein jeena

Main Madinay chala Main madinay chala-Nisar Ahmed Ma'arfani

main Madinay chala, Main madinay chala
main Madinay chala, main Madinay chala

phir karam ho gaya, main Madinay chala

saqia may pila, main Madinay chala
mast-o-bay khud bana, main Madinay chala

Kaif sa cha gaya, main Madinay chala
jhoomta jhoomta, main Madinay chala

main Madinay chalamain Madinay chala

Ashk thamtay naheen, paon jamtay naheen
larkharata huva, main Madinay chala

main Madinay chalamain Madinay chala

mairay Aqa ka darr, ho ga paish-e-Nazar,
chahiaye aur kia, main Madinay chala

main Madinay chalamain Madinay chala

phir karam ho gaya, main Madinay chala
phir karam ho gaya, main Madinay chala

mairay ganday qadam, aur unka Haram
Laaj rukhna Khuda, main Madinay chala

main Madinay chala main Madinay chala

Rooh-e-Muztarr ththehar, tu nikal na udhar
itni jaldee bhee kia, main Madinay chala

phir karam ho gaya,main Madinay chala

Haath uthhte ruhay, mujh ko daitay ruhay
voh talab say siva, main Madinay chala

kia keray ga idhar, bandh rukht-e-safar
chal Ubaid -e-Raza, main Madinay chala

main Madinay chala, main Madinay chala
phir karam ho gaya, main Madinay chala

Rahmat ka hei darwaza khhula maang aray maang- Fasihuddin Soharwardi

Rahmat ka hei darwaza khhula maang aray maang
Deta hei karam un ka sada maang aray maang

Aa ja-ai ga ik roz bhi teba se bulawaa
Har waqt madine ki dua maang aray maang

Bhar ja-ai ga kashkol muradon se tera bhi
Ban kar mere aqa ka gada maang aray maang

Mayoos na ho ye mere lajpaal ka dar hei
Hei kiss liye khamosh khharra maang aray maang

Sarkar se sarkar ko maanguun ga niyaazi
Sarkar ne jiss waqt kaha maang aray maang.

Mere dil mein he yaad-e-Muhammad-Khursheed Ahmed

Mere dil mein he yaad-e-Muhammad
Mere ho’ton pe zikr-e-Madinah
Tajdaar-e-haram ke karam se
Aagaya zindagii ka qareena

Mein ghulaam-e-ghulaamaan-e-Ahmad
Mein sag-e-aastaan-e-Muhammad
Qaabil-e-fakhar he mawt mere
Qaabal-e-rashk he mera jeena

Har khataa par mere chashm poshi
Har talab pe ataaon ki baarash
Muj gunahgaar pe kis qadar hein
Mehrbaan tajdaar-e-madinah

Dil shakasta he mera to kya gham
Is mein rehte hae Shah-e-doh aalam
Jab se mehmaan huwe hein wo dil mein
Dil mera ban gayaa hein Madinah

Mujh ko tuufaan ki mojuun ka kyaa gham
Wo guzar jaaye gaa rukh badal kar
Na khuda hein mere jab Muhammad
Kese duube gaa mera safeena.

Jashan-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah-Owais Raza Qadri

Jashan-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah

Noor ki tann gaeen chaadrain chaarsoon
Hoor-o-gulmaan ki poori hoii arzoo
Mustafa mujtaba shah-e-kono mukaam
Rub ki sarkaar jub hogaey roh baroh
Phir khuda ne khaha mere mahboob tum
Ho rasuloon ke rasool Allahi Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah

Chehra-e-Mustafa jub dikhaya gaya
Jhook gaye taarey aur chaand sharmaa gaya
Amena dekh kar muskuraney lageen
Hawwa Mariyam bhi khoshiyaan banaaney lageen
Amena bibi sub se kehney lageen
Duaa hogaii kabool Allahi Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah

Manghte he karam unka sadaa maangh rahe hain-Yasir Maqsoodi

Manghte he karam unka sadaa maangh rahe hain
Din raat Madine ki dua maangh rahe hain

Har ne’mate konain he daaman me hamare
Hum sadqa e Mehboob-e-Khuda maangh rahe hain

Asraar karam ke dar faqat unparhi khule he
Jo unke waseele se dua maangh rahe hain

Sarkaar ka sadqa mere Sarkaar ka sadqa
Mohtaajo Ghani Shaho gadaa maangh rahe hain

Ye maanliye he ke Tera dard he darmaan
Taalib he shifaa ke na dawaa maangh rahe hain

Daamaan-E-Amal me koyi neki na Khalid
Bus Naate Muhammad ka silaa maangh rahe hain.

Iss karam ka karoon shukr kaise ada-Hurria Rafiq

Iss karam ka karoon shukr-e-kaysay adaa,
Jo karam mujh pay mayray nabi nay kiyaa,
May sajaata tha sarkaar-e-ki mehfilain,
Mujhko har gham say rab nay baree kar diyaa.

Lamha lamha hay mujh par nabi ki ataa,
Dosto aur maangoo may maula say kya,
Kya yay kam hay kay mayray khuda nay mujhay,
Apnay mehboob-e-ka ummati kar diyaa.

Jo bhi aaya hay mehfil main sarkaar ki,
Haazari mil gaee jiss ko darbaar-e-ki,
Koee Siddeeq-e-farooq, usmaan huway,
Aur kissee ko nabi nay ali kar diya

Zikr-e-sarkaar ki hay bhari barkatain,
Mil gaee raahatain, azmatain rif’atain,
May gunahgaar tha, bay amal tha magar,
Mustafa nay mujhay jannati kar diyaa.

Mayray shaahay madina ki kya baat hay,
Un ki dar say millee sab ko khairaat hay,
Sadqay jaaon nay-yaazi main lajpaal kay,
Har gadaa ko sakheenay sakhee kar diya

Ya Rasool Allah (S.A.W) Pukaro-Milad Raza Qadri

Ya Rasool Allah (S.A.W) Pukaro
Ya Rasool Allah (S.A.W)
Ya Rasool Allah (S.A.W) Pukaro
Ya Rasool Allah (S.A.W)

Ya Rasool Allah (S.A.W) Pukaro
Ya Rasool Allah (S.A.W)
Ya Rasool Allah (S.A.W) Pukaro
Ya Rasool Allah (S.A.W)

Jo Bi Unke Pyar Mein Kho Jata Hay
Uspe Aaqa Bi Karam Farmate Hain

Jo Bi Unke Pyar Mein Kho Jata Hay
Uspe Aaqa Bi Karam Farmate Hain

Ya Rasool Allah (S.A.W) Pukaro
Ya Rasool Allah (S.A.W)
Ya Rasool Allah (S.A.W) Pukaro
Ya Rasool Allah (S.A.W)

Hai Azal Se Husn Walo Ki Ada
Chahne Walo Ko Woh Tarpate Hain

Marhaba Aaj Chalein Gay Shah-e-Abrar Ke Pass-Huriya Rafiq Qadri

Marhaba Aaj Chalein Gay Shah-e-Abrar Ke Pass
Insha'Allah Pohanch Jaayen Gay Sarkar ke Pass
Insha'Allah Pohanch Jaayen Gay Sarkar ke Pass
Paish Karne Ke Liye Kuch Nahi Badkaar Ke Pass
Paish Karne Ke Liye Kuch Nahi Badkaar Ke Pass
Dheron Isyaan Hain Gunahgaaron ke Sardar Ke Pass
Dheron Isyaan Hain Gunahgaaron ke Sardar Ke Pass
Main Gunahgaar Gunahon ke Siwa Kiya Laata
Main Gunahgaar Gunahon ke Siwa Kiya Laata
Naikiyan Hoti Hain Sarkar Niko Kaar Ke Pass
Naikiyan Hoti Hain Sarkar Niko Kaar Ke Pass
Khub Ro Ro Ke Unhen Gham Ka Fasana Kehna
Khub Ro Ro Ke Unhen Gham Ka Fasana Kehna
Gamzadoo Aao Chalain Ahmad-e-Mukhtaar Ke Pass
Gamzadoo Aao Chalain Ahmad-e-Mukhtaar Ke Pass
Hai Madeene Main Shahadat ka Talabgaar Maula
Hai Madeene Main Shahadat ka Talabgaar Maula
Ek Bhikaari Hai Khara Aapke Darbaar ke Pass
Ek Bhikaari Hai Khara Aapke Darbaar ke Pass
Dono Alam Ki Bhalayi Ka Sawali Ban Kar
Ek Bhikaari Hai Khara Apke Darbar ke Pass
Qabr Mein Yun Hi Nakeero Nahi Aa Pohoncha
Qabr Mein Yun Hi Nakeero Nahi Aa Pohoncha
Hai Ghulami ki Sanad Dekh Lo Attar Ke Pass
Hai Ghulami ki Sanad Dekh Lo Attar Ke Pass
Insha'Allah Pohanch Jaayen Gay Sarkar ke Pass
Insha'Allah Pohanch Jaayen Gay Sarkar ke Pass

Huzoor Aisa Koi Intezaam Ho Jaye-Saadia Kazmi

Huzoor aisa koi intizam ho jaye,
Kay phir Madina rawana ghulam ho jaye.

Naseeb waalon mein mera bhi naam ho jaye,
Jo zindagi ki Madinay mein shaam ho jaye.

Main shad shad maroon ga, agar dameakhir,
Naseeb jalwa e kahirul anam ho jaye.

Fuzool goi say bach jaye yeh zaban meri,
Mera kalam Durood-o-Salaam ho jaye.

Pia Raza ne pia jo murshid nay,
Ataa mujhe shaha aisa jaam ho jaye.

Shaha Ubaid-e-Raza dar badar phiray kab tak,
Huzoor is ka Madinah maqam ho jaye.

Ubaid mar kay Madinah mein paa chuka hai baqi,
Khabar watan mein kabhi to yeh aam ho jaye.

Gunahgaro ka Roze Mahshar Shafi-ul-Anaam hoga-Muballigh Dawateisalmi

Gunahgaro ka Roze Mahshar Shafi-ul-Anaam hoga
Dulhan Shifa’at banegi Doolha Nabi alaihis salaam hoga

Kabhi to chamkega Najme Qismat, hilaal mahe tamaam hoga
Kabhi to zare pe mahr hogi kabhi woh mahr idhar khush khiraam hoga

Para hoo me unki rah guzar me pare hi rahn se kaam hoga
Dil-o-jigar farsh raah banenge ye deeda-e-ishq khiraam hoga

Unhi ka moo sub takenge us din jo woh karenge woh kaam
Duhaa’i sub unki dete honge Unhi ka har lub pe naam hoga

Khuda ki Marzi he unki marzi, he unki marzi Khuda ki Marzi
Unhi ki marzi ye ho raha he unhi ki marzi ye kaam hoga

Jidhar Khuda he udhar Nabi he, jidhar nabi he udhar Khuda he
Khudaayi bhar sub idhar phiregi jidhar woh Aali maqaam hoga

Ussi tamanna me dum para’he yahi sahaara he zindagi ka Bulalo
mujko Madina sarwar nahi to jeena Haraam hoga

Huzoor Roza huwa jo haazir to apni saj dhaj ye hogi Haamid
Khamida sar aankh band lub par mere Durood-o-Salaam hoga

Ne’matein baant ta jis simt woh zeeshaan gaya- Hafiz Ilyas Ali

Ne’matein baant ta jis simt woh zeeshaan gaya
Saath hi munshiye Rehmat ka qalam daan gaya

Le khabar jald ke ghairon ki taraf dhyan gaya
Mere Maula mere Aqa Tere qurbaan gaya

Aah woh aankh ke nakaame tamanna hi rahi
Hai woh dil jo tere dar se pur arman gaya

Dil he woh dil jo teri yaad se ma’moor raha
Sar he woh sar jo tere Qadmon pe qurbaan gaya

Unhein jana unhen mana na rakhha ghair se kaam
Lillah hil Hamd mein Duniya se Musalman gaya

Aur tum par mere Aaqa ki Inayat na sahi
Najdiyo Kalmah parhane ka bhi ehsaan gaya

Aaj le unki Panah aaj madad maang unse
Phir na maanege Qayamat mein agar maan gaya

Jaano dil hosho khirad sab to Madine pahunche
Tum nahin chalte Raza sara to samaan gaya

Arshe Haq he musnade rif’at Rasoolullah ki-Asad Ali

Arshe Haq he musnade rif’at Rasoolullah ki
Dekhni he Hashr me Izzat Rasoolullah ki

Qabr me lehraa-e-ge tha Hasr chashme noor ke
Jalwah farma hogi jab tal’at Rasoolullah ki 

Laa Wa Rabbil Arsh jisko jo mila Unse mila
Bat’ti he Kownain me ne’mat Rasoolullah ki

Wo Jahannum me gaya jo Unse mustaghni huwa
Hai Khalleelullah ko haajat Rasoolullah ki

Sooraj ulthe paaw palthe chaand ishaare se ho chaak
Undhe Najdi dekhle Qudrat Rasoolullah ki

Tujhse aur Jannat se kya matlab wahabi door ho
Hum Rasoolullah ke, Jannat Rasoolullah ki

Hum bhikaari Wo Kareem, Unka Khudaa Unse fizoo
Aur naa kehna nahee Aadat Rasoolullah ki

Ahle Sunnat ka he bera  paar Ashaabe Rasool
Najm he aur Naav hai Itrat Rasoolullah ki

Toot jaa-enge gunaahgaro ke fawran qaid-o-bund
Hashr ko khuljaaegi Taaqat Rasoolullah ki

Ya Rabb ik saa’at me dhul jaa-e siyaahkaro ke jurm
Josh par aajaaye ab Rehmat Rasoolullah ki

Ae Raza khud Saahibe Quraan hai mud’daahe Huzoor
Tujhse kab mumkin he phir midhat Rasoolullah ki

Yeh rif'at-e-zikr-e-mustafa hey naheen kisee ka maqaam aesa-Yousuf Memon

Dar-e-nabi par yeh umr beetay ho ham pey lutf-e-dawaam aesa
Madinay wale kahain maqami ho un kay dar par qayaam aesa

Yeh rif'at-e-zikr-e-mustafa hey naheen kisee ka maqaam aesa
Jo baad zikr-e-khuda hey afzal hey zikr-e-khair-ul-anaam aesa

Jo ghamzadon ko galay laga lay buron ko daman main jo chupa lay
Hey dusra kaun is jahaan main siwa-e-khair-ul-anaam aesa

Bilaal tuj par nisaar jaoon kay khud nabi nain tujhe khareeda
naseeb ho to naseeb aesa ghulam ho to ghulam aesa

Namaaz aqsa main jab parhaee to ambiya-o-rusool yeh bolay
Namaaz ho to namaz aesee imam ho to imam aesa

Mein Khalid apnay nabi pey qurban hey jin ka khulq-e-azeem Qur'aan
Hey roshni jis kee do jahan main kaheen hey maah-e-tamaam aesa

Maa di shaan jera maa de pairan di khaak chumain-Qari Shahid Mahmood

Rab Kadar Kareem Raheem aisa, koi Raheem ni ALLAH paak warga
Baad Rab doon sari qainaat de andar, dooja koi ni shah-e-ulaad warga

Duniya dari de sariya rishtiyan wich, koi saat ni maa de saath warga
Putter pawain zamane da Gauns howe, neyo maa de paira di khaak warga

Te goad maa di'e darsagaat pehli ithu zindagi da nas-bul-ain band'da eh
Ithu data khaja fareed ban ke dukhi dilan de waste chain band'da ehSharm-o-haya

de maa je howe paiker fair puter vi qaus-e-saqlain band'da eh
Seyada khatoon-e-jannat je maa howe tahir te laal vi Sakhi Hussain band'da eh

Do jag andar je tu sukh chauna eh te saa amal ker tu kee liya kar
Jis haal de andar maa howe razi us haal de wich tu jee liya kar

je ucha boolna maa te bool beti maa samane laban nu see liya kar
jadhu tenu sakoon di lore howe, pair maa de to ke pee liya kar

kyoon ke Kambli wale sonay mehboob Rab de, izzat maa di ker ke vikha diti
aundi maaye Halima nu vekh ke te Kambli wale ne Kambli wicha diti

Dar e Mustafa say pa're hatnay walo-Amir Liaquat Hussain

Dar-e-Mustafa (saw) say pa're hatnay walo hova na guzaar phir kia karo gay.
Koi bhe agar na howa Do Jahan mein waseela tumhara to phir kia karo gay.

Nabi (saw) Je ki Ta'azeem say rokte ho Salaato Tasleem say rokte ho
Ye Harkat tumhare Rasool-e-Khuda (saw) ko hoe na guwara to phir kia karo gay!

Nabi (saw) Je ki misal kahnay walo Khudara zara apne halaat to dekho
Qiyamat kay Din Rahmate Mustafa (saw) ka hova na Ishaara to phir kia karo gay

"Minallahi Noor" hai Quraan mein aya magar is ka inkaar tum kar rahe hoo
Qiyaamat kay din munkiroon mein agar naam aya tumhara to phir kya karo gay

Mohabaat Nabi (saw) ki Mohabat,Khuda ki Ata'at Nabi (saw) ki Ata'at Khuda ki
Nahi mante hoo to na maano,laiken jo howa jb khisaara to phir kya karo gae.

Parhe ge Qiyaamat mein jab nafse nafse,Sadaa dain gay Wo (saw) "umati umati"
To us dam Shafey-e-Omam (saw) nay tmhain jo diyaa na Sahara to phir kya karo gae

Meray mulk-o-milaat kay nojawaano,Musalman bano,Najam(poet) ki baat maano
Qiyaamat kay din tum say raa'ze howa na Mehmoob (saw) Piyaaara,to phir kya karoo gay.

Karam Ho Ya Rasool Allah Karam Ho Ya Habeeb Allah-Hafiz Tahir Qadri

Karam Ho Ya Rasool Allah, Karam Ho Ya Habeeb Allah
Karam Ho Ya Rasool Allah, Karam Ho Ya Habeeb Allah

Gunahon Ki Nahi Jaati Hai Adat Ya Rasool Allah
Tumhi Ab Kuch Karo Ma'ahe Risalat Ya Rasool Allah
Gunahon Se Mujhe Ho Jaaye Nafrat Ya Rasool Allah
Nikal Jaaye Buri Har Aik Khaslat Ya Rasool Allah
Main Bachna Chahta Hon Haye Phir bhi Bach Nahi Pa'ta
Main Bachna Chahta Hon Haye Phir bhi Bach Nahi Pa'ta
Gunahon ki Pari Hai Aisi Adat Ya Rasool Allah

Karam Ho Ya Rasool Allah, Karam Ho Ya Habeeb Allah
Karam Ho Ya Rasool Allah, Karam Ho Ya Habeeb Allah

Mujhe Bhi Deed Ka Sharbat Pila Do Khawab Main Aa Kar
Dikha Do Roh-e-Tiaba Jaane Jaana Ya Rasool Allah
Tumhare Yun To Ehsa'an Hain Muhab Ek Aur Ehsan Ho
Ke Naqsha Ankha main Ho Jaaye Pinhan Ya Rasool Allah
Suna Hai Ap Har Ashiq Ke Ghar Tashreef Laate Hain
Suna Hai Ap Har Ashiq Ke Ghar Tashreef Laate Hain
Mere Ghar Main Bhi Ho jaaye Charaga'n Ya Rasool Allah

Maa tere bajon ay dukh dil da das main kinu kaaan maa-Abrar ul Haq

tere bajon ay dukh dil da das main kinu kaaan maa tu yaad auno hat di tere bajon ay dukh dil da das main kinu kaan maa tu chete aauno hat di na maa tu yaad auno hat di na tere bajon ay dukh dil da das main kinu kaan maa tu chete aauno hat di na maa tu yaad auno hat di na khairan mangdi rehndi sain tu mere sir diyan maaye ja ve putra tenu Allah arshaan de rang laavey khairan mangdi rehndi sain tu mere sir diyan maaye ja ve putra tenu Allah arshaan de rang laavey meri dolat izzat shohrat sab kuch tere naa maa tu chete aauno hat di na maa tu yaad auno hat di na ik wari chal khwaab che aaja aakey seene laa ja jera paambar balda ay maaye aake aap bhujaa jaa ik wari chal khwaab che aaja aakey seene laa ja jera paambar balda ay maaye aake aap bhujaa jaa teri yaad che athru keran jad vi kala baan maa tu chete aauno hat di na maa tu yaad auno hat di na maa jaya ghan chaawan boota menu nazar na aawe jis ton lay ke chaa udhaari Rab vi bisht banavey maa jaya ghan chaawan boota menu nazar na aawe jis ton lay ke chaa udhaari Rab vi bisht banavey tere hundeya teri qadar koi jaaney na maa tu chete aauno hat di na maa tu yaad auno hat di na tere bajon ay dukh dil da das main kinu kaaan maa tu chete aauno hat di na maa tu yaad auno hat di na maa tu chete aauno hat di na maa tu yaad auno hat di na

Allah Humma Salle Alaa Syede Na Wa Maulana Muhammadin-Hafiz Tahir Qadri

Darood sharif
Allah Humma Salle Alaa Syede Na Wa Maulana Muhammadin
Allah Humma Salle Alaa Syede Na Wa Maulana Muhammadin
Wa Alaa A'alihi Wa Sahbihi Wa Ba'arik Wasallim

Allah Humma Salle Alaa Syede Na Wa Maulana Muhammadin
Allah Humma Salle Alaa Syede Na Wa Maulana Muhammadin

Hasratain Na'az Karain aur Yun Mera Arma'an Nikle
Hasratain Na'az Karain aur Yun Mera Arma'an Nikle
Lab Pe Ho Salle Alaa Aur Meri Jaan Nikle

Allah Humma Salle Alaa Syede Na Wa Maulana Muhammadin
Allah Humma Salle Alaa Syede Na Wa Maulana Muhammadin

Saare Parho Durood Aj Sarkar Aa Gaye
Saare Parho Durood Aj Sarkar Aa Gaye
Duniya Te Do Jahan De Gham Khawar Aa Gaye

Allah Humma Salle Alaa Syede Na Wa Maulana Muhammadin
Allah Humma Salle Alaa Syede Na Wa Maulana Muhammadin

Yeh Teri Nazar Ka Kamal Hai Humain Poochte Hain Bare Bare
Yeh Teri Nazar Ka Kamal Hai Humain Poochte Hain Bare Bare
Main Tu Sang-e-Rahe Niyaz Tha Tu Ne Ek Nagina Bana Diya

Allah Humma Salle Alaa Syede Na Wa Maulana Muhammadin
Allah Humma Salle Alaa Syede Na Wa Maulana Muhammadin

Teri Yaad Main Jo Jhuka Kabhi, Mere Qaba Samne Aa Gaya
Teri Yaad Main Jo Jhuka Kabhi, Mere Qaba Samne Aa Gaya
Rukh-e-Yaar Asl-e-Namaz Hai Mujhe Qaabe Ne Ye Bata DIya

Allah Humma Salle Alaa Syede Na Wa Maulana Muhammadin
Allah Humma Salle Alaa Syede Na Wa Maulana Muhammadin

Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki-Owais Raza Qadri

Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki
Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki

Chalta hoon mein be Qafelay walo ruko zara
Milnay do bus mujhay be Ijazat Rasool ki

Phochay Jo Din-o-Iman Nakerain Qabr mein
Us waqt meray lab pay ho Midhat Rasool ki

Tarpa kay un kay Qadmo mein mujh ko Gira day Shok
Jis waqt ho lahad mein Ziyarat Rasool ki

Sarkar nay bula kay Madina dikha dia
Ho ghi mujhay naseeb Safa”at Rasool ki

Ya Rab dikha day Aaj ki Shab Jalwaey Habib
Ik bar to Aata ho Ziyarat Rasool ki

Damen mein un kay lay lo pannah Aaj munkiro
Mahengi paray ghi warna Adawat Rasool ki

To hai Ghulam Un ka Ubaid-e-Raza teray
Mahshar mein ho ghi saath Himayat Rasool ki

Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki
Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki

Main so jaoo Ya Mustafa kehtey kehtey-Owais Raza Qadri

Main so jaoo Ya MUSTAFA kehtey kehtey
Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey

Sitam pay Sitam seh gaey dushmano kay
Habeeb-e-KHUDA, Ya KHUDA kehtey kehtey

Main so jaoo Ya MUSTAFA kehtey kehtey
Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey

Guzarte thay kaantey bharrey raasto say
RASOOL-e-KHUDA, Marhaba kehtey kehtey
Main so jaoo Ya MUSTAFA kehtey kehtey
Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey

Huwey surkhuru Aap her maarkey may
Fakat Rabbana , Rabbana kehtey kehtey

Main so jaoo Ya MUSTAFA kehtey kehtey
Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey

Shahe her do Aalam ne naam-e-jabee say
Bhara paet shukrey KHUDA kehtey kehtey
Main so jaoo Ya MUSTAFA kehtey kehtey
Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey

Andheiroo may ham ne kiya hay ujaala
Aqeedat sey Noor-ul-Huda kehtey kehtey
Main so jaoo Ya MUSTAFA kehtey kehtey
Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey

Dilley muztarib ko qaraar aagya hay
Shabo roz Ya MUJTABA (S.A.W.W) kehte kehte

Main so jaoo Ya MUSTAFA kehtey kehtey
Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey

Museebat kay maaro kathan manzillo say
Guzer jaoo Ya Mustafa kehtey kehtey

Ya Mustafa ata ho phir izn haazri ka-Owais Raza Qadri

Dua
Ya Mustafa ata ho phir izn haazri ka
Karloon nazaraha aakar phir aapki gali ka

Ek baar to dikha do Ramadaan mein Madina
Beshak banalo AQA mehmaan do ghadi ka

Rota huwa phir aaon daagh e jigar dikhaon
Afsanah bhi sunaoon mai apni bekasi ka

Phir Sabz Gumbad ki dekh loon baharein
Ab izn dedo AQA phir mujh ko haazri ka

De do ghame Madina de do ghame Madina
Aisa ghame Madina dekhoon na mooh khushi ka

Khoon e jigar se seencha hai baagh e Sunniyat ka
Kardo karam waseelah iss Madni murshidi ka

Ya Saiyid e Madina! bus Aap hi nibhana
go hoon bada kaminah par hoon to Aap hi ka

Ya Mustafa! gunahaun ki adaatein nikaalo
Jazbah mujhe ata ho Sunnat ki pairwi ka

Hoon door sab balaein deta hoon waasta mai
Mazloom karbala ki Sarkaar! bekasi ka

ALLAH! jab duniya se Tu mujhe bachana
Sael hoon YA KHUDA mai Ishq e Muhammadi ka

Dil se Ghuroor nikle bahre huzoor nikle
YA RABB! mujhe bana de paikar Tu ajizi ka

Emaan pe RABB e Rahmat de do isteqamat
Deta hoon waasta mai Tujh ko Tere Nabi ka

Ho har Nafas Madina dhadkan me ho Madina
Jab tak na saans tootay Sarkaar zindagi ka

Duniya ke taajdaar! tum se mujhe gharz kya!
Mangta hoon mai to mangta Sarkaar ki gali ka

ALLAH! iss se pehle Emaan pe maut de day
Nuqsaan mare sabab se ho Sunnat e Nabi ka

Ulfat ki bheek de do deta hoon waasta mai
Siddiq ka Umar ka Usman ka Ali ka

Kuch nekiyaan kamale jald akhirat banale
Koee nahi bharosa bhai! zindagi ka

Meezaan pe sab khade hain amaal tal rahe hain
Rakh lo bharam Khudara! Attar Qadri ka

Phir ke gali gali tabaah thokare sab ki khayen kyoon-Hafiz Ilyas Ali

Phir ke gali gali tabaah thokare sab ki khayen kyoon
Dil ko jo akal de Khuda teri gali se jayen kyoon

Rukhsate qaafila ka shor gashse hame uthae kyoon
Sote hain Unke Sayen mein koyi hamme jagaaye kyoon

Yaade Huzoor ki qasam gaflate aish he sitam
Khoob hai qaide ghum mein hum koyee hamme chhurae kyoon

Dekh ke Hazrate Gani phel pare Faqeer bhi
Chaayi he ab to chauni Hashr hi aana jae kyoon

Jaan he Ishqe Mustafa roz fizoo kare Khuda
Jis ko ho dard ka mazaa naaze dawa  uthae kyoon

Woh jo nathe to kuch natha woh jo naho to kuch naho
Jaan hai woh jahan ki, jaan hai to jahaan hai

Hai to Raza nira Sitam jurm pe gar lajaaye hum
Koyee bajaaye soze gam saze tarab bajaaye kyoon

Kaabe ke Badrudduja tumpe karoron Durood-Owais Raza Qadri

ijtama e Zikr o Hamd O Sana Mehfil e Naat

Kaabe ke Badrudduja tumpe karoron Durood
Taiba ke Shamsud Duha tumpe karoron Durood

Shaafa’e Roze Jazaa tumpe karoron Durood
Daafa’e jumla balaa tumpe karoron Durood

Dil karo thanda mera woh kaffe paa chaand sa
Seene pe rakhdo zaraa tumpe karoron Durood

Aur koyee Ghayb kya tum se Nihaan ho bhalaa
Jab na Khudaa hi Chupaa tumpe karoron Durood

Wo Shabbe Me’raj raaj woh safe Mehshar ka Taaj
Koyee bhi aisa huwa tumpse karoron Durood

Kar ke tumhare Gunaah mange tumhee se Panaah
Tum kaho Daaman me aa tumpe karoron Durood

Tum ho Haafiz-o-Mughees kya ha woh Dushman Khabees
Tum ho to phir khauf kya tumpe karoron Durood

Ek taraf A’daa’e Deen ek taraf he Haasideen
Banda he tanha Shaha tumpe karoron Durood

Hum ne khataa me na ki tum ne ataa me ki
Koyi kami sarwaraa tumpe karoron Durood

Aankh ataa kijiye us me ziya dijiye
Jalwa qareeb aa tumpe karoron Durood

Kaam wo le lijiye tum ko jo Raazi kareh
Theek ho naame Raza tumpe karoron Durood

Arsh ki aql dang hai charkh me Asmaan hai-Asad Iqbal

Naat E Rasool E Maqbool (S.A.A.W)
Arsh ki aql dang hai charkh me Asmaan hai
Jaane muraad ab khidar ha ye tera Makan hai

Arsh pe jaa ke murg aql thak ke gira gash aagaya
Aur abi manzilo pare pehla hi astaana hai

Arsh pe taaza chher chaar farsh me turfa dhoom dhaam
Kaan jidhar laga’iye tere hi Dastaan hai

Wo jo na the to kuch na tha wo jo na ho to kuch na ho
Jaan he wo jahaan ki jaan he to jahaan hai

Khauf na rakh Raza zara too to he Abde Mustafa
Tere liye amaan he tere liye amaan he

Chamak tujh se paate he sub paane waale-Owais Raza Qadri

Naat e Mustafa
Chamak tujh se paate he sub paane waale
Mera dil bhi chamka de chamkaane waale

Barasta nahin dekh kar abre Rehmat
Badon par bhi barsa de barsaa ne waale

Madine ki khit’te Khuda tujh ko rakhe
Gareebon Faqeeron ke thahraane waale

Tu zinda he Wal’llah tu zinda he Wal’llah
Meri chashme aalam se chup jaane waale

Me mujrim hoo Aqaa mujhe saath le lo
Ke raste me he jaa baja thaane waale

Haram ki zami aur qadam rakh ke chalna
Are sar ka mouqa he au jaane waale

Tera khaene tere Ghulamo se uljhe
He munkir ajab khaane ghur’raane waale

Rahe ga yun heen unka charcha rahega
Pare khaak hojaye jaljane wale

Sab se aola wa aala hamara Nabi-Owais Raza Qadri

Sab se aola wa aala hamara Nabi
Sab se baala wa waala hamara Nabi

Apne Moula ka pyara hamara Nabi
Dono aalam ka Dulha ha hamara Nabi

Bazme Aakhir ka Shama faroza huwa
Noore awwal ka jalwa hamara Nabi

Buj gayi jis ke aage sabhi mash’ale
Shamma woh lekeh aaya hamara Nabi

Jis ke talwon ka dhowan he aabe Hayaat
Hai woh jaane Maseeha hamara Nabi

Khalq se Awliya Awliya se Rusul
Aur Rasoolon se aala hamara Nabi

Jaise sab ka Khuda ek he waise hi
In ka un ka thumhara hamara Nabi

Kawn deta he dene ko muh chahiye
Dene waala he sacha hamara Nabi

Kya khabar kitne taare khile chhup gaye
Par na doobe na dooba hamara Nabi

Saare ooncho meh ooncha samajhye jise
Hai oos oonche se ooncha hamara Nabi

Ghum zadoh ko Raza muzda dije ke he
Be kason ka sahara hamara Nabi

Dushman E Ahmad pe shiddat kijiye-Owais Raza Qadri

Dushman-e Ahmad pe shiddat kijiye
Mulhidon ki kya murrawat kijiye

Zikr unka cheriye har baat me
Cherna Shaytaan ka aadat kijiye

Misl-e Fars zalzalay hoon Najd mein
Zikr-e Aayaat-e Walaadat kijiye

Ghaiz mein jal jaa-ein be Deeno ke dil
Yaa Rasool Allah ki Kasrat kijiye

Kijiye charcha unhee ka subh-o shaam
Jaan-e Kaafir par Qayamat kijiye

Shirk thehre jis mein tazeem-e Habeeb
Us bureh mazhab pe laanat kijiye

Zaalimo! Mahboob ka haqq tha yehi
Ishq ke badle adaawat kijiye

Ghaus-e-Azam aap se faryaad he
Zinda phir ye paak Millat kijiye

Mere Aaqa Hazrat Achche Mia
Ho Raza Accha wo Soorat kijiye

Duniya Ke Ay Musafir Manzil Tere Qabar Hei-Abdul Rauf Roofi

Tay Kar Raha Hai Jo tu Do Din ka ya Safar hai
Duniya Ke Ayyyy Musafir
Jab Sa Bani Hai Dunya Lakhon Karoron AYe
Baqi Raha na koi Matti main sab samai
Is Baat ko na bhulo sab ka yahi hashar hai
Duniya Ke Ay Musafir
Duniya Ke Ay Musafir Manzil Tere Qabar Hai
Tay Kar Raha Hai Jo tu Do Din ka ya Safar hai
Duniya Ke Ayyyy Musafir
Ye aali shan Banglay wahan kaam ka nahin hain
Makhmal main sonay walay maati main so rahay hain
Do Gaz zamin ka tukra mitti ka tara ghar hai
Duniya Ke Ayyyy Musafir
Duniya Ke Ay Musafir Manzil Tere Qabar Hai
Tay Kar Raha Hai Jo tu Do Din ka ya Safar hai
Duniya Ke Ayyyy Musafir
Ankhon sa tunay apni dekhay hain kitnay janazay ?
Hathon sa tunay kitnay dafnay tunay murday ?
Anjam sa tu apnay itna tu kyun ba khabar hai
Duniya Ke Ayyyy Musafir
Duniya Ke Ay Musafir Manzil Tere Qabar Hai
Tay Kar Raha Hai Jo tu Do Din ka ya Safar hai
Duniya Ke Ayyyy Musafir

Moula ya salli wasalam dai man abadan-Owais Raza Qadri

Moulaya Salle wa Salem Daeman Aabadan Aala Habeebe ka Khairel Khalkekul Leeheme
Aamina k Dilbaro Dildaar per laqhoon Salaam
Aambiyaa kay Sarwaroo Sardar per laqhoon Salaam

Moulaya Salle wa Salem Daeman Aabadan Aala Habeebe ka Khairel Kalkekul Leeheme

Dono Aalam kay khazane Kar deye Haq ne Aata
Do jahan k Malikoo Mukhtaar per laqoon Salaam

Moulaya Salle wa Salem Daeman Aabadan Aala Habeebe ka Khairel Kalkekul Leeheme

Qabr mein lahraen gay jis waqt Jalwe Noor kay
Ham parhein gae Rohe Pur Anwaar per Lakhoon Salaam

Moulaya Salle wa Salem Daeman Aabadan Aala Habeebe ka Khairel Kalkekul Leeheme

pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se-Owais Raza Qadri

pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se

her aah gaye arsh pe ye aah ki kismat
her ashk pe aik khuld hai her ashk ki qeemat
tohfa ye mila hai sarkar-e-nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se
darbare-nabi se

bhaati nahi humdum mujhe jannat ki jawaani
sunta nahi zahid us mein hooron ki kahani
ulfat hai mujhe sayaa-e-deewar-e-nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se
darbare-nabi se

irfan ki kasak khulq ki mai sabr ka saagar
kiya lutf mila kerta hai jo dete hein sarwar
ye pooch le aake koi beemar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
darbar-e-nabi se
pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
darbar-e-nabi se
pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
darbar-e-nabi se

Soze Bilal bus meri jhooli mein daal do-Shakeel Qadri

Mehfil e Zikar o Naat
Jaa ho Jalal dona hi maalo manal do
Soze Bilal meri jhooli mein daal do

Duniya kay sare gham mmairay dil se nikal do
Gham Apna Ya Nabi Bahre Bilal do

Hijro Firaak to mila do iztiraab bhi
BeTaab Qalb Azpae sooze Bilal do

Bahte rahe jo her ghari bas Yaad mein Shaha
Wo chasham-e-Ashkbaar pae Zol Jalaal do

Seena Madina ho mera dil bhe Madina ho
"Fikre Madina" do mujhe "Madni khiyaal" do

Her Aaan bas tassawure Taiba mein ghom rahoon
Aaisa boland Shahe Madina! Khiyaal do

Do dard Sunnatoon ka pae Shahe Karbala
Omat kay dil se Lazat-e-fashion nikaal do

Kholke azeem say mujhe hissa Aata karo!
Be jaa hansi ki haslat bad ko nikaal do

Zikaro Durood her ghari wirde zubaan aae
Meri fazool goi ki Aadat nikaal do

Dono jahan ki Aafatein sari moseebatein
Sadke mein mairay Ghose kay Sarkar! taal do

ATTAR ko bula kay Madine mein do Baq'qe
Do Phool(RadiAllah Anhuma) k tofail hoon poray sowaal do

Aaya hai bulawa phir ik baar Madine ka-MadaniChannel

Aaya hai bulawa phir ik baar Madine ka
Phir jaa kay mein daikhoon ga Darbaar Madine ka

Gulsan say haseen tar kohsaar Madine ka
Jannat say bhe barh kar hai gulzaar Madine ka

Mein phool ko chomoon ga or dhool ko choomon ga
Jis waqt karoon ka mein deedar Madine ka

Aankhoon say laga loon ga or dil mein basa loon ga
Seene mein otaaroon gaa mein Khaar Madine ka

Laaqi hai sir baalein Rehmat ki ada Un ko
Jis waqt tarapta hai bimaar Madine ka

Rote hein deewane betaab hein mastanay
Un sab ko dikha dejeye Darbaar-e-Madina

Rota hai jo raatoon ko omat ki mohabaat mein
Wo Shafeye Mehshar hai Sardaar Madine ka

Ratoon ko rota hai or khaq per soota hai
Gham Khuwaar hai, Saada hai Mukhtaar Madine ka

Qabze mein do Aalam hein per Haath ka taqeya hai
Sota hai chitai per Sardaar Madine ka

Dhok dard jahaan bhar kay sab dour Shaha kay
Mujhko to bana lejeye bimaar Madine ka

Is dar kay bhaikaari ki jhooli mein Do Aalam hein
Shahoon say bhe barh kar hai nadaar Madine ka

Maqbool jahan bhar mein ho DAWATEISLAMI
Doon wasita Ay Rabe Ghafaar Madine kaa

Taqdeer chamak othe qismaat hi to khol jae
Ban jae jo adna sag, ATTAR Madine ka

Qafila chal diyaa madine ka Izn mil jae ger Madine ka-Adil Attari

Izn mil jae ger Madine ka
Kaam ban jae ga kaminay ka

Jaa kay Un ko dikhaoon ga mein to
Zakham-e-dil aur dagh seene ka

Qalbe Ashiq dharak otha aik dham
Zikr jab chir gia Madine ka

Maire ankhoon se ashk jaari howe
Jab chala Qafila Madine ka

Us ki qismat per rashq ata hai
Jo musaafir howa Madine ka

Tujh pe Rehmat ho zaeere Taiba
Jaa, nigahbaan Khuda safeenay ka

Sab ko Aaqa bulaein gae ik din
Izn mil jae gaa Madine ka

Ho Ghame Mustafa ata Ya Illahi
Dard barhata rahe Madine ka

Naz'aa mein, qabr mein, qiyamaat mein
Tum hi rakhna bharam kaminay ka

Dour ranjo alam hoon duniya kay
Ham ko mil jae gham Madine ka

Ail mudat se dil mein armaan hai
Jaame Deedaar-e-Yaar peenay ka

Aapne ATTAR per ho Nazer-e-Karam
Sag bana lejeye Madine ka

Allah ho Allah Ho Allah Hu Allah Ho-Waheed Zafar Qasmi

Qalb Ko Us Ki Royet ki Hey Arzoo
Jis ka Jalwa Hey Alam Hey Har Char Soo

Balky Khud Nafs Mey Hey Wo Subhana Ho
Arsh Par Hey Magar Arsh Par Hey Magar Arsh Ko Justajo

Allah Ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho

Arsh O Farsh O Zaman O Dehaq Aey Khuda
Jis Taraf Dekhta Hoon Hey Jalwa Tera
Zary Zary Ki Ankhon Mey Tu He Ziya
Qatry Qatry Ki Tu He Tu Hey Abroo

Allah Ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho

Tu Kise jaan ki Aur Harja Hey Tu
Tu Munaza Muqam Sey Mubala Rasool

Ilmo Qudrat Sey Har Jaah He Tu Ku Ba Ku
Tery Jalway Hein Har Har Jaga Aey Haku

Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu

Naghma San Jany Gulshan Mey Charcha Tera
Jab Chay Zikry Haq Key Hein Subho Masan

Apni Apni Chahat Apni Apni Sada
Sab Ka Matlab Hey Wahid Key Wahid Hey Tu

Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu

Ta Hera Mey Jina Mey Teri Guftagu
Geet Tery He Gaty Hein Wo Khus Gloo

Koi Kehta Hey Haq Koi Kehta Hey Hu
Aur Sab Kehty Hein la Sharkala Hu

Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu

jag Maga Uthy Dil Chera Ho Purziya
Noorion Ki Tarhan Shabn Ho Zikar Hu

Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu
Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah

Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki-Owais Raza Qadri

Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki
Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki

Chalta hoon mein be Qafelay walo ruko zara
Milnay do bus mujhay be Ijazat Rasool ki

Phochay Jo Din-o-Iman Nakerain Qabr mein
Us waqt meray lab pay ho Midhat Rasool ki

Tarpa kay Un kay Qadmo mein mujh ko Gira day Shok
Jis waqt ho lahad mein Ziyarat Rasool ki

Sarkar nay bula kay Madina dikha dia
Ho ghi mujhay naseeb Safa"at Rasool ki

Ya Rab dikha day Aaj ki Shab Jalwaey Habib
Ik bar to Aata ho Ziyarat Rasool ki

Damen mein un kay lay lo pannah Aaj munkiro(wahabiyoo)
Mahengi paray ghi warna Adawat Rasool ki

To hai Ghulam Un ka Ubad-e-Raza teray
Mahshar mein ho ghi saath Himayat Rasool ki

Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki

Karam Mangta Hoon Ataa Mangta Hoon-Owais Raza Qadri

Hamd O Dua
Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Dua Mangta Hoon

Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon

Ataa Kar Tu Shaan e Kareemi Ka Sadqa
Aata Ker De Shaan e Rareemi Ka Sadqa
Na Maangon Ga Tujhse To Mangoon Ga Kis Say
Tera Hon Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Karam Mangta Hoon , Ata Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon

Jo Muflis Hain Unko Tu Daulat Ataa Kar
Jo Beemar Hain Unko Sehat Ataa Kar

Jo Muflis Hain Unko Tu Daulat Ataa Kar
Jo Beemar Hain Unko Sehat Ataa Kar
Mareezon ki Khatir Shifaa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Dua Mangta Hoon

Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Dua Mangta Hoon

Jo Naadar Hain Kuch Nahi Jin ke Pallay
Unhen Bhi Dikha De Haram ke Tu Jalwe
Hazoori Ho Sab ki Duaa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon

Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon

Woh Tanke Bharaktay Sharare Bhuja Day
Issay phir akhuwat ka gulshan bana de
Mein amno amman ki rida mangta houn
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon

Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon

Ilaahi Tujhe Wasta Panjtan Ka
Ho Shaadab Ghuncha Diloon Ke Chaman Ka
Main Sadqa e Ghaus ul Wara Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon

Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon

Likh Raha Hoon Naat-e-Sarwar Sabz Ghumbad Dekh kar-Owais Raza Qadri

Likh Raha Hoon Naat-e-Sarwar Sabz Gumbad Dekh kar
Qaif tari hai Qalam per Sabz Gumbad Dekh kar

Hai muqadâââ€Å¡Ã‚¬Ãƒ¢Ã¢€Å¾Ã‚¢darYa wari par Sabz Gumbad Dekh kar
Phir na kyoun Jhumay Sanagar Sabz Ghumbad Dekh kar

Masjid-e-Nabwi pe pohonche Marhaba Sale Aâââ€Å¡Ã‚¬Ãƒ¢Ã¢€Å¾Ã‚¢ala
Ho gia Jari Zuban per Sabz Gumbad Dekh kar

Aap se bas Aap hi ko mangta hai Ya Nabi
Aap ka Adna sanagar Sabz Gumbad Dekh kar

Aahaey ATTAR Tugh se itna be na ho saka
Jan kar de ta Nichawar Sabz Ghumbad Dekh kar

Likh Raha Hoon Naat-e-Sarwar Sabz Gumbad Dekh kar
Qaif tari hai Qalam par Sabz Gumbad Dekh kar

Ai Sabze Ghumbadh wale manzoor Dua karna-Farhan Ali Qadri

Ai Sabze Ghumbadh wale manzoor Dua karna
Jab waqt nazah aye deedar atha karna

Ai Noor-e-Khuda aakar ankho me samaa jana
Ya Dar pe bula laina ya Khaab me Aajana

Ai Pardah nashi dil ke parde me raha karna
Jab waqte naza aye deedar atha karna

Mehboob Ilaahi sa koi na hasee dekha
Ye Shaan he in ki k saaya bhi nahi dekha

Allah ne saayeh ko chaha na Judah karna
Jab waqt nazah aye deedar atha karna

Me qabr-e- andheri me ghabraon ga jab thanha
Imdaad meri karne ajaana zarah esharah

Roshan meri Turbath ko Lillah zara karna
Jab waqt naza aye deedar atha karna

Chereh se diya paaye in chand sithaaro ne
Us dar se Shifa paaye dukh dard ke maaro ne

Atha he inni Saabir har dukh ki dawa karna
Jab waqt nazah aye deedar atha karna

Ai Sabz Ghumbad wale manzoor Dua karna
Jab waqt nazah aye deedar atha karna

Mustafa kay Dewaane hein ham-Nisar Ahmed Marfani

Mustafa kay Dewaane hein ham

Aakhare Qatra Lahoo ka bhe baha dein gay ham
Un ke Namoo per Duniyaa ko hilaa dein gay ham

Mustafa kay Dewaane hein ham

Ahmadul Mustafa
Hamidul Mustafa
Mahmoodul Mustafa
Qasimul Mustafa
Mustafa,Mustafa

Mustafa kay Dewaane hein ham

Unke Ta'azeemo Muhabat hi dharam hai Apna
Azmate Shafe jano ko lota dein gay ham

Mustafa kay Dewaane hein ham

Alwada Alwada Mahe Ramazan-Owais Raza Qadri

Qalb-e-Aashiq Hain Ab Para Para,
Alwada Alwada Mahe Ramazan.

Tere Aaney Se Dil Khush Huwa Tha,
Aur Zoak-e-Ibadat Badha Tha,
Aahh Ab Dil Pe Hain Ghum Ka Galba,
Alwada Alwada Mahe-e-Ramazan.

Naikiyan Kuch Na Hum Kar Sakain Hain,
Aah Issiya He Main Din Katain Hain,
Haaye Gaflat Main Tujh Ko Guzara,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Koi Husn-e-Amal Na Kar Sakaa Hoo,
Chand Ansoo Nazar Kar Raha Hoo,
Yehi Hai Mera Kul Asasaaa,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Jub Guzar Jayenge Mah Giyara,
Teri Aamad Ka Aamad ka Phir Shoor Hoga,
Kiya Meri Zindagi Ka Bharosa,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Bazm Iftar Sajti Thi Thi Kaisi,
Khood Sehri Ki Ronak Bhi Hotee,
Sub Sama Hogaya Suna Suna,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Yaad Ramzan Ki Tarpa Rahee Hai,
Aansoo Ki Jarhee Lag Gayee Hain,
Keh Raha Hai Har Aik Qatra,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Tere Diwane Sub Ke Sub Ro Rahe Hain,
Muztarib Sub Ke Sub Ho Rahe Hain,
Kaun Dega Inhe Ab Dilasa,
Alwada Alwada Mahe Ramzan.

Sag-e-ATTAR, Badkar, Qahil,
Rah Gaya Yeh Ibadat Se Gaafil,
Is Se khush Hoke Hona Rawana, Hum Sub Se Khush Hoke Hona Rawana
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN,
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN.

Bulalo phir mujhe Ay Shahe Bahro Bar Madine mein-sufi shafiq ul islam

Bulalo phir mujhe Ay Shahe Bahro Bar Madine mein
Mein phir rota howa aaon Teray Dar per Madine mein

Mein pohonchon kowe jana mein garebaa chaak seena chaak
Gira day kaash mujh ko shook tarpa kar Madine mein

Madine jaane walo jao,jao FiAamanillah
Kabhi to apna bhe lag jae ga bister Madine mein

Salaame shook kahna Hajeo! mera bhe roo roo kar
Tumhein aae nazar jab Roza-e-Anwar Madine mein

Piyaame shook laite jao mera qafilay walo
Sunana daastane gham meri roo kar Madine mein

Mera gham bhe to dekho mein para hoon dour Taiba se
Sakoon pae ga bas mera dile muzter Madine mein
Na ho mayoos deewano Pukare jao tum Un ko
Bulaein gay tumhein bhe aik din Sarwar Madine mein

Bulalo ham ghareeboon ko Bulalo Ya Rasool Allah
Pae Shabeero Shaber Fatima HAider Madine mein

Khudaya wasita daita hoon Tujh ko Ghouse Aazam ka
Dikha de Sabz Gumbad ka haseen manzer Madine mein

Sachi baat sikhatay ye hain seedhi raah-Owais Raza Qadri

sachi baat sikhatay ye hain
seedhi raah chalatay ye hain

naz-e-rooh mein aasani dain
kalma yaad dilatay ye hain

marqad mein bandon ko thpak kar
meethi neend sulaatay ye hain

qasr-e-dana tak kis ki rasaai
jaatay ye hain hain aatay ye hain

thanda thanda meetha meetha
peetay hum hain pilaatay ye hain

faiz-e-jaleel khaleel se poocho
aag mein bagh lagatay ye hain

apnay bharam se hum halkon ka
palla bhari banatay ye hain

laakh balayein karoron dushman
kon bachaye bachatay ye hain

apni bani hum aap bigaarein
kon banaye banaatay ye hain

sallim sallim ki dhaaras se
pul se paar lagatey ye hain

maan jab iklotay ko choray
aa aa keh k bulaatay ye hain

un k haath mein har kunji hai
malik-e-kul kehlatay ye hain

keh do raza se khush ho khush reh
muzda raza ka sunaatay ye hain.

Wo Suey La Lazaar Phirte Hain-Abdul Rauf Roofi

WO SUEY LA LAZAAR PHIRTE HAIN
TERE DIN AY NAHAR PHIRTE HAIN

JO TERE DAR SE YAR PHIRTE HAIN
DAR-BA-DAR YU HI KHAAR PHIRTE HAIN

PHOOL KYA DEKHU MERI AANKHON MEIN
DASHTE TAIBAH KE KHAAR PHIRTE HAIN

JAAN HAIN JAAN KYA NAZAR AAYE,
KYU ADU GIRD-E-GAAR PHIRTE HAIN

UNKE IMA PE DONO BAGHO PAR,
KHAILE LAILO NAHAR PHIRTE HAIN

WARDIYA BOLTE HAIN HAR KAARE
PEHRA DETE SUVAAR PHIRTE HAIN

LAAKHON QUDSI HAIN KAAM-E-KHIDMAT PAR
LAAKHON GIRDE MAZAAR PHIRTE HAIN

HAR CHARAG-E-MAZAAR PAR QUDSI
KAISE PARWA-NAVAR PHIRTE HAIN

BAAYE RASTE NA JA MUSAFIR SUN
MAAL HAIN RAHBAAR PHIRTE HAIN

JAAG SUNSAAN BAN HAI RAAT AAYI
GURG BEHRE SHIKAAR PHIRTE HAIN

RAKHIYE JAISE HAIN KHANAZAD HAIN HUM
MOL KE AIBDAAR PHIRTE HAIN

US GALI KA GADA HU MAIN JISME
MAANGTE TAAJDAAR PHIRTE HAIN

HAYE GAFIL WO KYA JAGAH HAIN JAHA
PAANCH JAATE HAIN CHAAR PHIRTE HAIN

KOYI KYU POOCHE TERI BAAT RAZA
TUJHSE KUTTE HAZAAR PHIRTE HAIN

Ya Shahe Umam Ek Nazre Karam Mori Laaj Tumhare Haath Sarkar-Zulfiqar Ali


Ya Shah-e-Umam Ek Nazar-e-Karam
Ya Shah-e-Umam Ek Nazar-e-Karam

Mori Laaj Tumhare Haath, Sarkaar

Mori Nayya Laga Do Apne Karam Se Paar
Mori Nayya Laga Do Apne Karam Se Paar

Sallal La Syed ul Mursaleen, Sallal La Syed ul Mursaleen
Tooti Howi Aas Hun Main, Dukh se Bhara Dil Hai Mera

Tooti Howi Aas Hun Main, Dukh se Bhara Dil Hai Mera
Nazr-e-Karam Behr-e-Khuda, Koi Nahi Hai Tere Siwa

Sallal La Syed ul Mursaleen, Sallal La Syed ul Mursaleen

Ghamkhar-e-Jahan, Taskeen-e-Jaan,
Ek Shab Tu Mujhe Bhi Ho Deedar

Mori Nayya Laga Do Apne Karam Se Paar
Mori Nayya Laga Do Apne Karam Se Paar

Ya Shah-e-Umam Ek Nazar-e-Karam
Ya Shah-e-Umam Ek Nazar-e-Karam

Mori Laaj Tumhare Haath, Sarkaar
Mori Nayya Laga Do Apne Karam Se Paar

Baag-e-Iram Shehar Tera, Jiss Ki Hawa Mushk-e-Khutan
Naam Tera Salle Alaa, Rooh-e-Bayan Jaan-e-Sukhan

Sallal La Syed ul Mursaleen, Sallal La Syed ul Mursaleen

Saif-Ul-Malook Rehmat Da Darya Elaahi Har Dam Vagda Tera-Farhan Ali Qadri

Allah Ho, Allah Ho, Allah Ho, Allah Hoo
Allah Ho, Allah Ho, Allah Ho, Allah Hoo

Allah Ho, Allah Ho, Allah Ho, Allah Hoo
Allah Ho Allah Ho Allah Allah Hoo Allah

Allah Ho Allah Ho Allah Allah Hoo Allah

Sare Kainde Tera Tera, Main V Akhan Tera
Tera Te Mola Kuj V Nai Janda, Tera Te Mola Kuj V Nahi Janda

Tu V Kai Chchad Mera

Allah Ho, Allah Ho, Allah Ho, Allah Hoo
Allah Ho, Allah Ho, Allah Ho, Allah Hoo

Allah Ho, Allah Ho, Allah Ho, Allah Hoo
Allah Ho Allah Ho Allah Allah Hoo Allah

Allah Ho Allah Ho Allah Allah Hoo Allah

Rehmat Da Darya Elaahi Har Dam Vagda Tera
Rehmat Da Darya Elaahi Har Dam Vagda Tera

Jai Ek Katra Bakhsein Menu, Kam Banr Jave Mera

Allah Ho, Allah Ho, Allah Ho, Allah Hoo
Allah Ho, Allah Ho, Allah Ho, Allah Hoo

Allah Ho, Allah Ho, Allah Ho, Allah Hoo
Allah Ho Allah Ho Allah Allah Hoo Allah

Allah Ho Allah Ho Allah Allah Hoo Allah

Sambhal Ja Ae Dil-e Muztar Madina Aane Wala Hai-Dr Nisar Ahmad Marfani

Sambhal Ja Ae Dil-e Muztar Madina Aane Wala Hai
Sambhal Ja Ae Dil-e Muztar Madina Aane Wala Hai

Luta-E Chashme Tar Gohar Madina Aane Wala Hai
Sambhal Ja Ae Dil-e Muztar………………..

Qadam Ban Jaaye Mera Sar Madina Aane Wala Hai
Bichun Rah Mei Nazar Banker Madina Aane Wala Hai

Talabgar-e-Madina Tak Madina Khud Hi Aa Jaaye
Tu Dunya Se Kinara Kar Madina Aane Wala Hai
Sambhal Ja Ae Dil-e Muztar ………………..

Zara Ae Marqab-e-Umre Rawan Chal Barf Ki Surat
Dikha Parwaz Ke Johar Madina Aane Wala Hai

Sambhal Ja Ae Dil-e Muztar ………………..

Ghubaar Raha Anwar Kis Qadar Poor Noor Hai Akhtar
Tani Hai Noor Ki Chaadar Madina Aane Wala Hai

Sambhal Ja Ae Dil-e Muztar Madina Aane Wala Hai
Luta-E Chashme Tar Gohar Madina Aane Wala Hai

Aalam-e-Islam Ko Eid Milad-un-Nabi Mubarak Ho-Imran Sheikh

Marhaba Sallal La, Marhaba Sallal La
Marhaba Sallal La, Marhaba Sallal La

Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa
Marhaba Ya Mustafa Sad Marhaba

Allah Allah Ya Allah Allah Allah
Allah Allah Ya Allah Allah Allah

Alam-e-Islam Ko Yeh Eid e Milad un Nabi
Ho Mubarak Ho Mubarak Eid e Milad un Nabi

Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa

Allah Allah Ya Allah Allah Allah
Allah Allah Ya Allah Allah Allah

Ho Mubarak Ahl-e-Eman Eid e Milad un Nabi
Hai Khuda Ka Tumpe Ehsaan Eid e Milad un Nabi

Azzami Ta Asman Husn-e-Azal Rakhshindan DaWood
Wajh-e-Taskeen e Dil o Jaan Eid e Milad un Nabi

Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa

Allah Allah Ya Allah Allah Allah
Allah Allah Ya Allah Allah Allah

Alam-e-Islam Ko Yeh Eid e Milad un Nabi
Ho Mubarak Ho Mubarak Eid e Milad un Nabi

Muhammad Syed e Konain Muhammad Syed e Konain-Imran Sheikh Qadri

Muhammad u Syed ul Konain Wa SaqaLain
Wal Fariqayeen, Min Arabiyu'n Wa min Ajami

Muhammad Syed e Konain, Muhammad Syed e Konain

Sardar-e-Do Alam Hain
Muhammad Syed e Konain, Muhammad Syed e Konain
Wohi Shah-e-Arab SallalLa Mehboob-e-Rab SallalLa

Noor-e-Mujassam hain
Muhammad Syed e Konain, Muhammad Syed e Konain

Maula Ya Salli Wasalim Da'aiman Aabadan
Aalaa Habika Khairil Khalqi Kul-i-hi mi

Ja'a adli dawati IL, Ashjaar u Sajida Ta
Tamshi Elahi Alaaa, Saqim Bila Qadami

Chalein Ashjar Bhi Sajda Kona
unke Ishare Par Khira Main Be Qadam Adna Sa Ek

Aijaz e Paighambar
Muhammad Syed e Konain, Muhammad Syed e Konain

Sardar-e-Do Alam Hain
Muhammad Syed e Konain, Muhammad Syed e Konain

Maula Ya Salli Wasalim Da'aiman Aabadan
Aalaa Habika Khairil Khalqi Kul-i-hi mi

Shehr Madinay Jana Ae-Hafiz Noor Sultan

Sheher Madine Jaana Ae
Sheher Madine Jaana Ae

Dil Di Dhadkan Har Har Waile Mangay Eiho Dua
Sheher Madine Jaana Ae

Chittyan Vi Paayan ne, Aasaan Vi Main laayan Ne
Sohnya Dar Te Bula, Sohnya Dar Te Bula

Mukde Jaande Ne Saa
Sheher Madine Jaana Ae

Sheher Madine Jaana Ae
Dil Di Dhadkan Har Har Waile Mangay Eiho Dua

Sheher Madine Jaana Ae

Kar Meharbaniyan Dil Deya Jaaniya
Kar Meharbaniyan Dil Deya Jaaniya

Wasse Tera Dar Sohnya, Wasse Tera Dar Sohnya
Sun Lai Dil Di Sadaa

Sheher Madine Jaana Ae
Sheher Madine Jaana Ae

Dil Di Dhadkan Har Har Waile Mangay Eiho Dua
Sheher Madine Jaana Ae

Tere Baajon Sohnya Chatt Nayyo Langdaa
Teri Howe Khair Sohnya, Teri Howe Khair Sohnya

Bari Umeed Hai Sarkar Qadmon Mein Bulayen Gai-Owais Raza Qadri

Bari Umeed Hai Sarkar Qadmon Mein Bulayen Gai
Bari Umeed Hai Sarkar Qadmon Mein Bulayen Gai
Karam Ki Jab Nazar Ho Gi Madine Hum Bhi Jayen Gai
Karam Ki Jab Nazar Ho Gi Madine Hum Bhi Jayen Gai
Bari Umeed Hai Sarkar Qadmon Mein Bulayen Gai

Agar Jaana Madine Mein Huwa Hum Gham Ke Maroon Ka
Agar Jaana Madine Mein Huwa Hum Gham Ke Maroon Ka
Agar Jaana Madine Mein Huwa Hum Gham Ke Maroon Ka
Makeenay Gumbad-e-Khazra Ko Haal-e-Dil Sunayen Gai
Makeenay Gumbad-e-Khazra Ko Haal-e-Dil Sunayen Gai
Bari Umeed Hai Sarkar Qadmon Mein Bulayen Gai
Karam Ki Jab Nazar Ho Gi Madine Hum Bhi Jayen Gai

Naseema Janib-e-Bat'ha Guzar Kun
Zai Ahwalam Muhammad Ra Khabar Kun
Tu Hi Sultan-e-Aalam Ya Muhammad
Zai Ruwe-e-Luft Soye Man Nazar Kun
Musharraf Garch-e-Shud Jamiz-e-Lutf Ash
Khudaya Eein Karam Baar-e-Digar kun
Agar Jaana Madine Mein Huwa Hum Gham Ke Maroon Ka
Makeenay Gumbad-e-Khazra Ko Haal-e-Dil Sunayen Gai

Rahmat ul Lil Alameen-Junaid Jamshed

Balagal Ula Be Kamal-e-Hi
Kashafad Du Ja Be Jamal-e-Hi

Hasunat Jami U Khisaal-e-Hi
Sallo Alaihi Wa Aa’lehi

Pasti Ka Koi Had Se Guzarna Dekhe
Islam Ka Gir Kar Na Ubherna Dekh

Mane Na Kabhi Ke Mad Hai Har Jazar Ke Baad
Darya Ka Hamare Jo Uterna Dekhe

Kissi ne Yeh Wuqrat Se Jaa Ke Pooche
Maraz Tere Nazdeek Muhlik Hain Kia Kia

Kaha Dukh Jahan Main Nahi Koi Aisa
Ke Jis ki Dawa Haq ne Ki Ho Na Paida

Magar Who Maraz Jis Ko Aasan Samjhe
Kahe Jo Tabeeb Usko Hizyaan Na Samjhe

Sabab Ya Alamat Gar Inko Bhujayen
To Tashkhees Main So Nikalen Khatayen

Dawa Aur Perhez se Ji Churayen
Yunhi Rafta Rafta Maraz ko Barhayen

Tabeebon Se Hargiz na Manoos Hon Wo
Yahan Tak ke Jeene Se Mayoos Hon Wo

Yahi Haal Dunya main Iss Qoam Ka Hai
Bhawar Main Jahazan Ke Jiska Ghira Hai

Kinara Hai Door aur Toofan Bapa Hai
Guma Hai Yeh har Dum Ke Ab Doobta hai

Guma Hai Yeh har Dum Ke Ab Doobta hai
Nahi Lete Karwat Magar Ahle Kashtii

Pare Sotay Hain Be Khabar Ahle Kashtii
Pare Sotay Hain Be Khabar Ahle Kashtii

Ghata Sir pe Adbaar Ki Chaa Rahi Hai
Falakat Sama Ab Na Dikhla Rahi Hai

Nahoosat Pasoo Paish Mandla Rahi Hai
Jaborast se Yeh Sada Aa Rahi Hai

Ke Kal Kon They Aj Kia Ho gaye Tum
Abhi Jagte They Abhi So Gaye Tum

Par Iss Qoam-E-Gafil Ki Ghaflat Wohi hai
Tanazzul Pe Apne Qana’at Wohi Hai

Mille Khak Main Par Raoonat Wohi Hai
Huwi Subho Aur Khab-e-Rahat Wohi Hai

Na Afsoo Inhen Apni Zillat Pe Hai Kuch
Na Rashk Aur Komo ki Izzat Pe Hai Kuch

Baha Inki Aur Inki Halat Hai Yaksan
Ke Jis Haal Main Hai ussi Main Hain Shaadan

Na Zillat Se Nafrat Na Izzat Ka Armaan
Na Dozak Se Tarsaan Na Jannat Ke Khawa Han

Na Dozak Se Tarsaan Na Jannat Ke Khawa Han
Lia Aqlo Deen Se Na Kuch Kaam Inhon Ne

Kia Deen-e-Barhaq ko Badnaam Inhon Ne

Balagal Ula Be Kamal-e-Hi
Kashafad Du Ja Be Jamal-e-Hi

Hasunat Jami U Khisaal-e-Hi
Sallo Alaihi Wa Aa’lehi