Ai Sabze Ghumbadh wale manzoor Dua karna naat lyrics

Ai Sabze Ghumbadh wale manzoor Dua karna
Jab waqt nazah aye deedar atha karna

Ai Noor-e-Khuda aakar ankho me samaa jana
Ya Dar pe bula laina ya Khaab me Aajana

Ai Pardah nashi dil ke parde me raha karna
Jab waqte naza aye deedar atha karna

Mehboob Ilaahi sa koi na hasee dekha
Ye Shaan he in ki k saaya bhi nahi dekha

Allah ne saayeh ko chaha na Judah karna
Jab waqt nazah aye deedar atha karna

Me qabr-e- andheri me ghabraon ga jab thanha
Imdaad meri karne ajaana zarah esharah

Roshan meri Turbath ko Lillah zara karna
Jab waqt naza aye deedar atha karna

Chereh se diya paaye in chand sithaaro ne
Us dar se Shifa paaye dukh dard ke maaro ne

Atha he inni Saabir har dukh ki dawa karna
Jab waqt nazah aye deedar atha karna

Ai Sabz Ghumbad wale manzoor Dua karna
Jab waqt nazah aye deedar atha karna