Mohammad kay Ghulamo ka kafan mela nahi hota naat lyrics

Zameen meli nahi hoti zaman mela nahi hota
Mohammad (SAW) kay Ghulamo ka kafan mela nahi hota

Mohabbad Kamli wale say wo jazba hai suno logo
Yai jis man mai sama jaye wo man mela nahi hota

Mohammad (SAW) kay Ghulamo ka kafan mela nahi hota
Nabi ke pak langer pe jo palty hain kabhi unki

Zaban meli nahi hoti sokhan mela nahi hota
Mohammad (SAW) kay Ghulamo ka kafan mela nahi hota

Mery Aaqa ki ulfat to baddan ko jagmagati hai
Kabhi ahh-le-Mohammad (SAW) ka baddan mela nahi hot

Mohammad (SAW) kay Ghulamo ka kafan mela nahi hota

Guloon ko choom letain hain sehar num shabnami qatre
Nabi ki Naat sun lain to chaman mela nahi hota

Mohammad (SAW) kay Ghulamo ka kafan mela nahi hota
Jo Name-e-Mustafa choomey nahi dukhti kabi ankhain

Pehen ley Payar jo unka baddan mela nahi hota
Mohammad (SAW) kay Ghulamo ka kafan mela nahi hota

Main nazaan to nahi fun per magar nasir ya dawa hey
Sana-e-Mustafa karney sey fun mela nahi hota