Ne’matein baant ta jis simt woh zeeshaan gaya naat lyrics

Ne’matein baant ta jis simt woh zeeshaan gaya
Saath hi munshiye Rehmat ka qalam daan gaya

Le khabar jald ke ghairon ki taraf dhyan gaya
Mere Maula mere Aqa Tere qurbaan gaya

Aah woh aankh ke nakaame tamanna hi rahi
Hai woh dil jo tere dar se pur arman gaya

Dil he woh dil jo teri yaad se ma’moor raha
Sar he woh sar jo tere Qadmon pe qurbaan gaya

Unhein jana unhen mana na rakhha ghair se kaam
Lillah hil Hamd mein Duniya se Musalman gaya

Aur tum par mere Aaqa ki Inayat na sahi
Najdiyo Kalmah parhane ka bhi ehsaan gaya

Aaj le unki Panah aaj madad maang unse
Phir na maanege Qayamat mein agar maan gaya

Jaano dil hosho khirad sab to Madine pahunche
Tum nahin chalte Raza sara to samaan gaya