pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se naat lyrics

pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se

her aah gaye arsh pe ye aah ki kismat
her ashk pe aik khuld hai her ashk ki qeemat

tohfa ye mila hai sarkar-e-nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se

darbare-nabi se

bhaati nahi humdum mujhe jannat ki jawaani
sunta nahi zahid us mein hooron ki kahani

ulfat hai mujhe sayaa-e-deewar-e-nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se

darbare-nabi se

irfan ki kasak khulq ki mai sabr ka saagar
kiya lutf mila kerta hai jo dete hein sarwar

ye pooch le aake koi beemar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
darbar-e-nabi se

pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se

darbar-e-nabi se

pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se

darbar-e-nabi se