Sarkar ko ro ro kar dukh apne sunayenge-Farhan Qadri

Sarkar ko ro ro kar, dukh apne sunayenge
Jagenge naseeb apne jab darr pe bulayenge

Sarkar ko ro ro kar, dukh apne sunayenge
Aayega sukoon meri, bechain nigahon ko,

Aayega sukoon meri, bechain nigahon ko
Jab roaze ki jaali ko seene se lagayenge.

Sarkar ko ro ro kar, dukh apne sunayenge,
Jagenge naseeb apne jab darr pe bulayenge

Sarkar ko ro ro kar, dukh apne sunayenge
Mangenge gadah bann kar, taiba ke bazaaron mein

Mangenge gadah bann kar, taiba ke bazaaron mein
Sarkar ke mangte hai, Sarkar dikahyenge

Sarkar ko ro ro kar, dukh apne sunayenge,
Jagenge naseeb apne jab darr pe bulayenge

Sarkar ko ro ro kar, dukh apne sunayenge
Sarkar ke sab jalwe aakhon mein basa lenge

Sarkar ke sab jalwe aakhon mein basa lenge
Manzar who Madine ka, Phir sab ko dikhayenge

Sarkar ko ro ro kar, dukh apne sunayenge,

Jagenge naseeb apne jab darr pe bulayenge

Sarkar ko ro ro kar, dukh apne sunayenge
Iss dharti mein jo maa hai, aaqaji ke khadmon mein,

Iss dharti mein jo maa hai, aaqaji ke khadmon mein,
Hum khaaq iss dharti ki, Aakhon se lagaa lenge

Sarkar ko ro ro kar, dukh apne sunayenge,
Jagenge naseeb apne jab darr pe bulayenge

Sarkar ko ro ro kar, dukh apne sunayenge
Jaan de denge hum Sadiq, sarkar ki nagri mein

Jaan de denge hum Sadiq, sarkar ki nagri mein
Jayenge Madine ko, Naa laut ke aayenge

Sarkar ko ro ro kar, dukh apne sunayenge,
Jagenge naseeb apne jab darr pe bulayenge

Sarkar ko ro ro kar, dukh apne sunayenge
Sarkar ko ro ro kar, dukh apne sunayenge

Aate Hain Wohi Jin Ko Sarkar Bulate Hain-Siddiq Ismail

Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain
Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain

Woh Log Khuda Shahid, Qismat Ke Sikandar Hain
Jo Sarware Alam Ka, Milad Manate Hain

Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain
Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain

Aqa Ki Sanah Khwani, Dar Asl Ibadat Hai
Hum Naat Ki Surat Mein, Qur’an Sunate Hain

Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain
Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain

Jin Ka Bhari Duniya Mein, Koi Bhi Nahin Wali
Unko Bhi Mere Aqa, Sine Se Lagate Hain

Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain
Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain

Jo Sarware Alam Ko, Lajpal Samajhte Hain
Daman Talab Bhar Kar, Mehfil Se Woh Jate Hain

Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain
Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain

Me-khwaro Chaley Jana, Me-khwanae Sarwar Mein
Woh Jamey Talab Sab Ko; Bhar, Bhar Ke Pilate Hain

Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain
Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain

Allah Ke Khazanon Ke, Malik Hain Nabi Sarwar
Yeh Sach Hai Niyazi, Hum Sarkar Ka Khate Hain

Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain
Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain

Rauzay Ki Deewar Say Rishta Jorr Liya–Hafiz Tahir

Rauzay Ki Deewar Say Rishta Jorr Liya
Goya Ik Sansaar Say Rishta Jorr Liya

Saaray Rishtay Naatay Mein Ne Tor Diye
Buss Apni Sarkar Say Say Rishta Jorr Liya

Jaan Mein Rakh Lee Unkay Paseenay Ki Khushboo
Phoolon Ki Mehkaar Say Rishta Jorr Liya

Jism O Jaan Ka Har Gosha Mehka Mehka
Taiba Kay Gulzar Say Rishta Jorr Liya

Izzat Daulat Shohrat Sar Ka Taj Bani
Jab Unki Dastaar Say Rishta Jorr Liya

Qadrein Seerat Ki Badalein Hain Pal Bhar Mein
Jab Unkay Kirdaar Say Rishta Jorr Liya

Soz-e-Ishq Ujaagar Teray Sha'yron Say
Kiya Tou Nay Attar Say Rishta Jorr Liya

Sabse Aula O Ala Hamara Nabi–Owais Qadri

Sabse Aula O A’la Hamara Nabi
Sabse Bala O Wala Hamara Nabi

Apne Maula Ka Pyara Hamara Nabi
Dono aalam ka Dulha Hamara Nabi

Bazm-e-Aakhir Ka Shammay Farouzan Hua
Noor-e-Awwal Ka Jalwa Hamara Nabi

Bujh Gayein Jiskay Aagay Sabhi Mash’lein
Shamma Woh Lekar Aaya Hamara Nabi

Jiskay Talwon Ka Dhowan Hai Aab-e-Hayat
Hai Woh Jaan-e-Maseeha Hamara Nabi

Khalq Se Auliya Auliya Se Rusul
Aur Rasulon Se Ala Hamara Nabi

Jaisay Sabka Khuda Aik Hai Waisay Hee
Inka Unka Tumhara Hamara Nabi

Kon Deta Hai Dene Ko Moo Chahiye
Dene Wala Hai Sacha Hamara Nabi

Saaray Onchon Mein Oncha Samajhiye Jissay
Hai Uss Onchay Se Oncha Hamara Nabi

Sab Chamak Walay Ujlon Mein Chamka Kiye
Andhay Sheeshon Mein Chamka Hamara Nabi

Gham Zaddon Ko Raza Muzhda Dejiye Ke Hai
Beykason Ka Sahara Hamara Nabi

Mere Rab Kahan Par Nahi Hey Tu-Fasih Uddin Soharwardi

Mere Rab Kahan Par Nahi Hey Tu Teri Shan JalaJalala Hu
Teri Zare Zare Mey Hey Namoo Teri Shan jallajalala Hu

Teri Qudratoon Ka Shumar Kia Teri Wusatoon Ka Hisab Kia
Tu Muhite Alam mey rang o Bu Teri Shan Jallajala Hu

Tera Faiz Faize Amem ney Tu he Mera Rab E Karim Hey
Mery Dil Mey Hey Teri Arzoo Teri Shan Jallajalala Hu

Jise Chahey Tu Wo Aziz Hey Jisey Tu Na Chahy Zalil Hey
Tery Hath Zilato Abroo Teri Shan Jallajala Hu

Mery rab kahan Par Nahi Hey Tu Teri shan Jallajalal Hu
Teri Zare Zare Mey Hey Namoo Teri Shan jallajalala Hu

Allah Meray Dil Kay Ander-Jawad Ahmad

Mera Haath Tu Na Chori..
Mujhay Akela Tu Na Chori
Tu Mere Saath Maula Phir Chahe Kuch Ho Maula
Tu Jo Mere Saath Maula Phir Chahe Kuch Ho Maula
Sachal Sayyin Mera...allah Mere Dil Ke Andar
Mey Momin Haq Qalandar Allah Mere Dil Ke Andar Mey Momin Haq Qalandar Allah Mere Dil Ke Andar Mey Momin Haq Qalandar Allah Mere Dil Ke Andar Mey Momin Haq Qalandar
Murshad Meray Mujhay Toki Na Tu
Apnay Andar Mujhay Koney De Tu
Murshad Mere Mujhay Toki Na Tu
Apney Andar Mujhay Koney De Tu
Heera Mere Muje Roki Na Tu
Mujhay Dewana Honay De Tu
Tu Jo Mere Saath Maula Pir Chahe Kuch Ho Maula
Tu Jo Mere Saath Maula Pir Chahe Kuch Ho Maula
Sachal Sayin Mera!!
Allah Mere Dil Ke Andar Mey Momin Haq Qalandar!!
Allah Mere Dil Ke Andar May Momin Haq Qalandar!!
Allah Mere Dil Ke Andar Mey Momin Haq Qalandar!!
Allah Mere Dil Ke Andar May Momin Haq Qalandar!!!
Malik Bhi Tu Raziq Bhi Tu Ghayeb Bhi Tu Hazir Bhi Tu
Malik Bhi Tu Raziq Bhi Tu Ghayeb Bhi Tu Hazir Bhi Tu
Zahir Bhi Tu Batal Bhi Tu Awwal Bhi Tu Akhir Bhi Tu
Tu Jo Mere Saath Maula Pir Chahe Kuch Ho Maula
Tu Jo Mere Saath Maula Pir Chahe Kuch Ho Maula
Sachal Sayin Mera!!!
Allah Mere Dil Kay Andar May Momin Haq Qalandar!!!
Allah Mere Dil Ke Andar Mey Momin Haq Qalandar!!!
Mera Haath Tu Na Chori Mujeh Akelaa Tu Na Chori
Tu Jo Mere Saath Maula Pir Chahe Kuch Ho Maula Tu Jo Mere Saath Maula Pir Chahe Kuch Ho Maula
Sachal Sayyin Meraaaa~!!!!
Allah Mere Dil Ke Andarmey Momin Haq Qalandar
Allah Mere Dil Ke Andar Mey Momin Haq Qalandar
Allah Mere Dil Ke Andarmey Momin Haq Qalandar
Allah..!!! Alllah!!!!!! Allah!!!! ...ya Allah!!!!!

Soona Jungle Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai-Owais Raza Qadri

Soona Jungle Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai
Sone Wale Jaagte Rahiyo Choron ki Rakhwali Hai
Sona Jungle Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai

Ankh Se Kajal Saaf Chura Lain Yan Woh Chor Bala Ke Hai
Teri Takri Takee Hai Aur Tu Ne Neend(Sorry!!) Nikali Hai
Sona Jungle Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai

Yeh Jo Tujh ko Bulata Hai Yeh Thag Hai Maar Hi Rakhe Ga
Hye Musafir Dam Main na Ana Mat Kaisi Matwali hai
Sona Jungle Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai

Sona Paas hai Soona Ban Hai Sona Zehar Hai Uth Pyaare
Tu Kehta Hai Meethi Neend Hai Teri Mat hi Nirali Hai
Sona Jungle Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai

Ankhne Mal na Jhunjna Par Na Lakh Jamahi Angrayi
Array Nam Pe Uthne ke Larta Hai Uthna Bhi kuch Gaali Hai
Sona Jungle Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai

Jugnoo Chamke Patta Kharke Mujh Tanha Ka Dil Dharke
Dar Samjhaye Koi Pavan Hai Ya Agiya be Taali Hai
Sona Jungle Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai

Badal Garge Bijli Tarke Dhak se Kaleja Ho Jaaye
Ban Main Ghata Ki Bhayanak Soorat Kaisi Kaali Kaali Hai
Sona Jungle Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai

Paaon Utha Aur Thaukar Khaayi Kuch Sambhla Phir Aondhe Mon
Neend ne Phislan Kar Di Hai Aur Dhortak Khaayi Naali Hai
Sona Jungle Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai

Saathi Saathi Keh ke Pukaron Saathi Ho Tu Jawab Aaye
Phir Jhunjla Kar Sir De Patko Chal Re Mola Wali Hai
Sona Jungle Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai
Tum To Chand Arab ke ho Pyare Tum To Ajam Ke Sooraj Ho
Dekho Mujh Bekas Par Sab ne Kaisi Afat Daali Hai
Sona Jungle Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai

Shehed Dikhaye Zehar Pilaye Kaatil Daen Shohar Kush
Iss Murdar Pe Kiya Lalchaya Dunya Dekhi Bhaali Hai
Sona Jungle Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai

Woh tu Nihayat Sasta Soda Baich Rahe Hain Jannat Ka
Hum Muflis Kiya Moal Chukayen Apna Haath Hi Khaali Hai
Sona Jungle Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai

Mola Tere Afw-o-Karam Ho Mere Gawah Safayi Ke
Warna Raza se Chor pe Teri Digree Tu Iqbali Hai
Sona Jungle Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai

Ya Khwaja e hindalwali Mehboobe sultane haram-Rahat Fateh Ali

Ya Khwaja e hindalwali
Mehboobe sultane haram
Bekaso pe karam ho jaye karam

Ai Mustafa ke laadle
Hai dilbare shahe umam
Bekaso pe karam ho jaye karam

Noor nigahe panjtan
Tanveere shahe zulminan
Khwaja Moinuddin Hasan
Ye waqt hai mujhpe kathin
Sar pe hai toofane alam
Bekaso pe karam ho jaye karam

Khairunnisa ke waaste
Mushkil kusha ke waaste
Kul ambiya ke waaste
Khwaja khuda ke waaste
Majboor ka rakh lo bharam
Bekaso pe karam ho jaye karam

Ai taajdare auliya
Hami nahi koi mera
Sunlo khudara iltija
Fariyad hai Khwaja piya
Tadpa rahe hai dardo gam
Bekaso pe karam ho jaye karam

Ab aankh hai gam se bhari
Hai dard ki shiddat badi
Tu kaat de gam ki kadi
Rota hai pur noor nam har ghadi
Kehte hai aasu dam ba dam
Bekaso pe karam ho jaye karam

Hai Nazar Me Jamal E Habibe E Khuda-yusuf khan Ejaz

Hai nazar me Jamal-e-Habib-e-Khuda
Jinki tasveer sine me maujud hai
Jisne lakar kalame ilahi diya
Wo Muhammad Madine me maujud hai

Ful khilte hai padh padh ke salle ala
Jhoom kar keh rahi hai ye bade saba
Aisi khushboo gulon ke chaman me kahan
Jo Nabi ke pasine me maujood hai

Chhodna tera taiba gawara nahi
Sari duniya me aisa nazara nahi
Aisa manzar zameen pe na dekha kahin
Jaisa manzar Madine me maujud hai

Maine mana ke jannat bahot hai haseen
Chhod kar mai Madina na jau kahin
Yun to jannat me sab hai Madina nahi
Aur jannat Madine me maujud hai

Jabki toofan safine se takra gaya
Maine usse ye be sakhta keh diya
Kya bigadega tu kashtiye deen ka
Na khuda jab safine me maujud hai

Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte-Shabaz Qamar Afridi

Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Sheher Me Mai Aun, Teri Naat Padhte Padhte
Tere Sheher Me Mai Aun, Teri Naat Padhte Padhte

Tere Ishq ki Badaulat, Mujhe Zindagi Mili Hai
Tere Ishq ki Badaulat, Mujhe Zindagi Mili Hai
Mujhe Mout Aaqa Aaye, Tera Zikr Karte Karte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Sheher Me Mai Aun, Teri Naat Padhte Padhte

Kisi Cheez Ki Talab hai, Na Hai Arzu Bhi Hai Koi
Kisi Cheez Ki Talab hai, Na Hai Arzoo Bhi Hai Koi
Tu Ne Itna Bhar Diya Hai, Kashkoal Bharte Bharte
Tu Ne Itna Bhar Diya Hai, Kashkoal Bharte Bharte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Sheher Me Mai Aun, Teri Naat Padhte Padhte

Mere Soonay Soonay Ghar Mein, Kabhi Ronake Ataa Hon
Mere Soonay Soonay Ghar Mein, Kabhi Ronake Ataa Hon
Main Deewana Ho Gaya hoon, Teri Raah Takte Takte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Sheher Me Mai Aun, Teri Naat Padhte Padhte

Hai Jo Zindagani Baaki, Yeh Irada Kar Liya Hai
Hai Jo Zindagani Baaki, Yeh Irada Kar Liya Hai
Tere Munkiron Se Aaqa, Mai Maroon Ga Ladte Ladte
Tere Munkiron Se Aaqa, Mai Maroon Ga Ladte Ladte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Sheher Me Mai Aun, Teri Naat Padhte Padhte

Nasir Ki Haazri Ho, Kabhi Aastan Pe Tere
Nasir Ki Haazri Ho, Kabhi Aastan Pe Tere
Ke Zamana Ho Gaya Hai, Mujhe Aahen Bharte Bharte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Shehar Mein Main Aoon, Teri Naat Parhte Parhte

Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Shehar Mein Main Aoon, Teri Naat Parhte Parhte

Shala Wasda Rawe Tera Sohna Haram-Owais Raza Qadri

Hum Ghulamon Ka Rakhna Khudara Bharam
Hum Ghulamon Ka Rakhna Khudara Bharam
Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram
Tera Sohna Haram
Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram
Tera Sohna Haram

Ya Shafi E Umam Lillah Kardo Karam
Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram
Hum Ghulamon Ka Rakhna Khudara Bharam
Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram
Tera Sohna Haram

Teri Choukhat Ke Mangtay Hai Jaaye Kahan
Apni Rahmat Se Bhar Dijiye Jholiyan
Ya Rasoolallah
Teri Choukhat Ke Mangat Hai Jaaye Kahan
Apni Rahmat Se Bhar Dijiye Jholiyan
Hum Hai Umeed Wale Karam Ho Karam
Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram
Tera Sohna Haram

Muntashir Hai Hayaalat Ki Vah Diyah
Lut Gaya Hai Sakoon Valiye Doh Jahaan
Door Ho Jaye Gham Ya Shah-e-mohataram
Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram
Tera Sohna Haram

Ya Nabi Apni Ulfat Ki Soh Baat De
Apni Shayan-e-shah Hum Ko Khairaat De
Iss Se Matlab Nahi Ke Siva Ho Ya Kam
Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram
Tera Sohna Haram

Teri Yaadon Se Maamoor Seenah Rahe
Saamne Meray Tera Madinah Rahe
Dar Pay Baita Rahu Leke Mein Jash Mein Lam
Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram
Tera Sohna Haram
Kiss Ko Jaakar Kahe Taajdaar-e-haram
Dera Dale Hue Hain Zamaane Ke Gham
Rahmat Farma De Abh Teri Ummat Hain Hum
Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram
Tera Sohna Haram

Meray Haatho Mein Ka Sah Hai Umeed Ka
Hoo Bekari Shahah Mein Teri Deedh Ka
Mein Gadah-e-haram Tu Nabi Mohataram
Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram
Tera Sohna Haram

Haazri Ho Niyazi Ki Darbaar Mein
Zindagi Ho Bass Teray Asghaar Mein
Aate Jaatey Rahe Teri Choukhat Pe Hum
Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram
Tera Sohna Haram

Hum Ghulamon Ka Rakhna Khudara Bharam
Hum Ghulamon Ka Rakhna Khudara Bharam
Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram
Tera Sohna Haram