Kuch Nahi Mangta Shahon Se Ye Sheda tera naat lyrics

kuch nahin mangta shahon se yeh sheda tera
is ki dolat hain faqat naqsh e kaf e paa tera

poray qad se jo khara hon tu ya tera ha karam
mujh ko jhoknay nahin deta ha sahara tera

dastgiri meri tanhi ki tu na hi tu ki
mein tu mar jata agar saata na hota tera

log kehte hain ke saya tere pekar ka na tha
main tu kehta hon jahan bhar pe hai saya tera

aik baar aur bhi teba se falasteen main aa
rasta dekhti hai masjid aksa tera

ab bhi zulmat faroshon ko gila hai tujh se
rat baki bhi ke suraj nikal aya tera

mashriq wa maghrb mein bikhray huwa gulzaroo ko
nikhtain bant ta ha aaj bhi sahara tera

ta ba ta tergiyain zahn pa jab lutti hain
noor ho jata ha kacha aur hawada tera

kuch nahi sujta jab piyas ki shidat se mujh
chalak utta ha mera roh mein meena tera

tu bashr bhi ha magar fakhir e bashr bhi tu ha
mujh ko tu yaad ha bas itna sarapa tera

mein tujh alam e asia mein bhi pa lata hu
log kahtay hain k alam e baala tera

meri aankhon se jo dhondain tujha har so dekhain
sirf khalwat mein jo kartay hain nazara tera

woh andharoon se bhi dar'ana guzar jatay hain
jin ky mathay mein chamakta ha sitara tera

nadyain ban ky pahroon mein tu sab ghoomtay hain
raag zaroon mein bhi bahta raha darya tera

sharq aur gharb mein nikhray hua gulzaroon ko
nikhtain bant ta ha aaj bhi sahara tera

tujh se pehlay ka jo mazi tha hazaroo ka sahi
ab jo ta hashr ka farda ha wo tanha tera

Ya Nabi Salam alaika Salawa tullah alaika naat lyrics

Ya Nabi salam alaika, ya Rasool salam alaika
Salawa tullah alaika, ya Habeeb salam alaika

Hashr mein sab eik kinare ummati ké dam ko maare
Aagaé jab wo to saare, dekh kar ounko poukare

Eik jhalak jo dekh paaoun, jaan mein tum par lootaoun
Raah mein ankhein bichaaoun, dasta basta phir sounaoun

Naayibe ashaab-o-sawar pehle hein Siddique Akbar
Phir Umar Uthman-o-Haidar, bheijie salam oun par

Deene haq ki dhaal donon, hein ye bemisaal donon
Fatima ke laal donon, Mustafa ki aal donon

Iss jahan se jab safar ho, roou-e-paak par nazar ho
Yeh karam Naseer par ho, ouska sar ho tera dar ho

Hum khaak hain aur khaak hi maawa hai hamaara naat lyrics

Hum khaak hain aur khaak hi maawa hai hamaara
Khaki to wo aadam jade aala hai hamara

Allah hamein khaak kare apni talab mein
Ye khaak to sarkaar se tamgha hai hamara

Jis khaak pe rakhte the qadam sayyide aalam
Us khaak pe qurbaan dil-e-shaida hain hamara

Usne laqabe khaak shahenshaah se paaya
Jo haidare karraar ke maula hai hamara

Aye muddaiyo khaak ko tum khaak na samjhe
Iss khaak mein madfoon shahe bat-ha hai hamaara

Hai khaak se taameer mazaa-e-shahe kawnain
Ma’moor isi khaak se qibla hai hamara

Ham khaak uraeinge jo wo khaak na paayi
Aabaad RAZA jiss pe madina hai hamara

Salle ala Nabi ye na salle ala Muhammadin naat lyrics

Salle ala Nabi ye na salle ala Muhammadin
Salle ala Shafi ye na salle ala Muhammadin

Ham bhi Madine jayenge aaj nahi to kal sahi
Aaqa humein bulayenge aaj nahi to kal sahi

Galiyon mein ghuum ghuum kar khaake Madinah chuum kar
Nazron se ham lagayenge aaj nahi to kal sahi

Galiyon mein jhuum jhuum kar khaakhe Madinah chuum kar
Naat-e-Nabi sunayenge aaj nahi to kal sahi

Dekha jo Unko baanethe mein ne bhi bar ke shawk se
Daste ataa ke samne daste talab barha diya

Aamade Mustafa huwi roshan zamaana ho gaya
Jin ke Huzoor ho gaye unka zamaana ho gaya

Haal dil sunayenge aaj nahi to kal sahi
Bighri apni banayenge aaj nahi to kal sahi

Salle ala Nabi ye na salle ala Muhammadin
Salle ala Shafi ye na salle ala Muhammadin

Naat Sunta Rahoon Naat Parhta Rahoon naat lyrics

Naat Sunta Rahoon Naat Parhta Rahoon
Aankh Purnam Rahay Dil Machalta Rahay
Najm-E-Naam-E-Muhammad Zuban Par Rahay
Zikr Hota Rahay Saans Chalta Rahay

Baisaharoon Ka Koi Sahara Nahin
Mustafa Kay Siwa To Guzara Nahin
Unki Chasm-E-Karam Ho To Kuch Ghum Nahin
Chahay Sara Zamana Badalta Rahay

Ishq Ahmad Si Duniya Main Naimat Nahin
Mal O Zar Ki Bhi Koi Haqiqat Nahin
Badshaoon Say Behtar Bhikari Hai Woh
Unkay Dar Pay Tukrhoon Pay Jo Palta Rahay

Kiya Bhala Asakay Zindagi Kay Mazay
Door Reh Kar Habib-E-Khuda Say Mujhay
Uski Halat Karoon To Karoon Kia Biyan
Har Ghari Jo Furkat Main Jalta Rahay

Yeh Dua Hai Salamat Sada Ghum Rahay
Ta Abad Rab Tais-E-Qayam Rahay
Aatishay Ishq Har Dum Bharhakti Rahay
Khoon Roota Rahoon Dil Pighalta Rahay

Mustafa Ki Nazar Jis gharhi Ho Gaee
Uski Takdeer Khoti Khari Hogaee
Usko Thukrae Sara Jahan Bhi Agar
Girne Wala Magar Phir Sanbhalta Rahay

Najm Ki Ae Khuda Aarzoo Hai Yehi
Aashiq-E-Zaar Ki Aabroo Hai Yehi
Aakhri Waqt Sar Unkay Kadmoon Pay Ho
Deed Hoote Rahay Dum Nikalta Rahay

Main Nazar Karon Jaan O Jigar Kaisa Lagey Ga naat lyrics

Mein Nazar Karoon Jaan o Jigar Kaisa Lagay Ga
Rakhdoon Dar-e-Sarkar Pay Sar Kaysa Lagay Ga

Aa Jaye Muqaddar Se Mere Ghar Jo Shah-e-Dee(n)
Mein Kaysa Lagoon Ga Mera Ghar Kaysa Lagay Ga

Jab Door Say Hain Itna Haseen Gumbad-e-Khizra
Iss Paar Say Aisa hai Udher Kaysa Lagay Ga

Sarkaar Ne Darr Pe Tujhe Bulwaya Hain Mangte
Jab Koyi Mujhe Dega Khabar Kaisa Lagay Ga

Jis Haath Se Likhunga Muhammad Ka Qaseedah
Us Haath Me Jibreel Ka Par Kaisa Lagay Ga

Ghous Ul Wara Say Pooch Lo Aik Roz Ye Chal Kar
Baghdad Say Taiba Ka Safar Kaysa Lagay Ga

Rakh Lunga Imame Pe Jo Nalain E Muqaddas
Shaho Ke Muqabil Mera Sar Kaisa Lagega

Sarkar Yeh Naam Thumhara Sab Naam se hai pyara naat lyrics

Sarkar Yeh Naam Thumhara
Sab Naam se hai pyara
Is Naam se Chamka Sooraj
Aur chamka Chaand Sitaara

Hua Har Soo Khoob Ujhala
Hua Roshan Alam Sara
Mera Naam Karega Roshan
Dho Jag men Naam Thumhara

Jab Rabbe Qadheer Thumhari
Kare Khud Hi Madha Sarari
Har Ik ke Laboon Par pirko...
Taa-reef Ko Thumahari Ayi
Sad Sukhr Ke Dhikr Thumhara
Rahen Har Dam Wird Hamara

Lehron men Meri Ye Kashthi
har Jaanib se hai Teri
Sarkar Khabar Lo Meri... 
Sarkar Khabar Lo Meri
Mile Mujko Aafiyyath
ka Mere Aqa Jald Kinara


Jho Mujh Par bheeth Rahi hai 
Oh Kisko Kaise batha oon
Aur Apne Dil ki Hikayath...
Bhala Kisko Jakke Suna oon
Thum Mehram-e-Raz ho mere
Meri Daadh Rasi Ho Khudha ra

Meri Arz Khudhara Sunlo
Mere Haal Pe Mujko Na chodo
Zara apni Chashme Inayath...
Be bas Ki Tharaf Bhi Modo
Be Kas Ka Thum Ho Sahara
Be Chare Ka Thum Ho Chaara

Jab Roze Kayamath Har Ik
Bolega Nafsi Nafsi
Aur dad Kisiki Degha...
Mehshar Men Jab na Koi
Aise Men Athaho Mujko
Yeh Shafa Eh Hashr Sahara

Sahil Hun Tere DharKa
Mile Mujko Bheek Karam Ki
Rak Laj Eh Mere Aqa...
Is Meri Chashme Namki
Karoon Ghumbadh Khazraka
Pir Aankon Se Apni Nazara

Har Waqth Atha Par Ham ne
Dekha Hai Thum hen Ko Mahil
Dhare Paak Pe Aya Jab Bhi...
Kaisa hi Koi Sahil
Hai Rahmathe alam Thumne
Use Kar Hi Liya Hai Ghawara

Do Apne Ishqh Ki Daulath
Mujhe Apni Aal Ka Sadhka
Eh Riyaz Faqheer Azal se
Tere Dhar Ka Hi Hai Shaha
Tere dhasthe Atha ke age
Dhaman Hai Itne Pasara

Mangton ko sultan banaya mere kamli walay ne naat lyrics

Mangton ko sultan banaya mere kamli walay ne
Jab apna darbar lagaya mere kamli walay ne

Mal-o-zar ki bat nahin he sab ye karam ki batain hain
Jis ko chaha dar pe bulaya mere kamli walay ne

Jis per apna rang charhaya mere kamli walay ne
Data farid or khuaja banaya mere kamli walay ne

Baara rabi ul awal ke din noor-e-khuda ki kirno se
amna tera gher chamkaya mere kamli walay ne

Jitna kharch mai karti jao utna barhta jaye hai
Baksh dia aisa sarmaya mere kamli walay ne

Unka ziker kertay kertay neend ali jab ai mujhay
Mujh ko apna jalwa dikhaya mere kamli walay ne

Ae shahenshah-e-madina assalat-o-wassalam-Owais Qadri

Ay shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam
Ay shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam

zeenat-e arsh-e mu'alla, assalat-o-wassalam
rabbi-habli-ummati kehte huway paida huay

rab ne farmaya ke bakhsha assalat-o-wassalam
ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,

zeenat-e-arsh-e mu'alla, assalat-o-wassalam
sar jhuka kar ba adab ishq-e rasoolallah may,

keh raha he har sitara assalat-o-wassalam
ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,

zeenat-e-arshe-e mu'alla, assalat-o-wassalam
mu'mino padhthay raho tum apnay aqa par durood

he farishto ka wazifa, assalat-o-wassalam
ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,

zeenat-e-arshe mu'alla, assalat-o-wassalam
mein woh sunni hu jamil-e qadri marnay ke ba'd

mayra laasha bhi kahe ga assalat-o-wassalam
ae shahenshah-e-madina assalat-o-wassalam

zeenat-e-arshe mu'allah, assalat-o-wassalam
jab firishtay qabr mein jalwa dhikha-e aap ka

ho zabban par pyaare aqa, assalat-o-wassalam,
Ay shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam

Arsh Ka Dulha Aaya Hai-Muhammad Ali Soharwardi

A’alam Mein Baraat Rachi Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai
Jugmug Jugmug Duniya Saji Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Arsh Se Utra Noor Khuda Ka
Noor Badamaan Saari Duniya
Inki Zia Se Ye Chamki Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Kufur Ki Boo Kafoor Hui Hai
Shah-e-Dinaa Ki Aamad Se
Khushboo-e-Iman Pehli Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Khushiyon Ke Fuwaaray Ublay
Kaysi Masti Chayi Hai
Ghar Ghar Mein Shaadi Utri Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Nikhre Nikhre Gulshan Saaray
Rung Ajab Hain Phoolon Ke
Daali Daali Youn Mehki Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Hoor-O-Ghilmaan Saaray Malaik
Jinn-O-Insaan Taab’ay Hain
Donoo A’alam Par Shahi Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Farsh Pe Chamka Arsh Ka Taara
Amina Bi Ke Ghar Utra
Do A’alam Mein Dhoom Machi Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Ma’iraj Ki Manzil Pe Ujaagar
Tanha Fayiz Sarwar Hain
Baraati Har Aik Nabi Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Mustafa Jaan e Rehmat Pe Lakhon Salam-Owais Qadri

mustafa jaan-e-rehmat peh laakho salam
sham-e-bazme hidyat peh laakho salam

jis suhaani ghari chamka taba ka chand
us dil afrowzay saat peh lakho salam

jis kay mathay shafat ka sihra raha
us jabaa-nay saadat peh laakho salam

aik mayra he rehmat pe dawa nai
shaha ke sare umat peh laakho salam

shabay asra kay dula pei dame durood
nowsha-hay ba-e-janat peh laakho salam

woh zuba jis ko sab kun ki kunji kahe
us ki naffiz hukumat peh laakho salam

jis kay aanay say yasrab madina bana
aysa aaqa ke amad peh laakho salam

umatei umatei lab peh jari rahe
umatei  tayre kismat peh laakho salam

pathay pathay peh likah hai kamli wale kanaam
us kamli wale muhammad(peace be apon him) peh laakho salam

Muj say khidmat kay kudsee kahe ha raza naat lyrics

ya nabi salam mu alaka
ya rasool salamu alaka
ya habiba salamu alaka
salawa tula alaka

rehmoto kay taaj waalay
dow jaha ke raaj waalay
arsh ki miraaj waalay
aasiya ki laaj waalay

ya nabi salam mu alaka
ya rasool salamu alaka
ya habiba salamu alaka
salawa tula alaka

bakht ka chamka sitara
hazri ka ho ishara
deykar rozah tumhara
phir kahay kadim tumahara

ya nabi salam mu alaka
ya rasool salamu alaka
ya habiba salamu alaka
salawa tula alaka

dur ho jaayai yei duuri
hasil ho jaayai khuzuri
deykh luu wo shaklay nuury
dil ki haratei ho puri

ya nabi salam mu alaka
ya rasool salamu alaka
ya habiba salamu alaka
salawa tula alaka

Haleema Main Tere Muqadran Tu Sadqe-Anas Younus

Haleema mein terey muqadran ton sadqay
Haleema mein terey muqadran ton sadqay

Haleema mein terey muqadran ton sadqay
tu madni da jhoola julendee wee hosayn

Nee sonay da mukra noorani noorani
Tu takdee tey raeyayn choomendee wee hosayn

ey unglee na paa kay tu vayray day andar
Khuda day sajan nu turendi wee hosayn

Nee arshan da chan hai kilona wee jis da
Tu us bey misal noon kiden dee wee hosayn

Kadee naal terey nazaqat thin sona
O rusda wee hosee manen dee wee hosayn

Nawake sajake tey kajla wee paa kay
Tay thoddi hila kay hasen dee wee hosayn

Haleema mein terey muqadran ton sadqay
Haleema mein terey muqadran ton sadqay